mohabbat ibtida mein kuchh nahin malum hoti hai
mohabbat ibtidā meñ kuchh nahīñ ma.alūm hotī hai
magar phir dushman-e-īmān-o-dīñ ma.alūm hotī hai
vajūd-e-zāt aks-e-ālam-e-hastī se hai sābit
tirī sūrat hī sūrat-āfrīñ ma.alūm hotī hai
maiñ milnā chāhtā huuñ tujh se aise tuur par jā kar
jahāñ terī tajallī bhī nahīñ ma.alūm hotī hai
ga.e ham dair se ka.abe magar ye kah ke phir aa.e
ki terī shakl kuchh achchhī vahīñ ma.alūm hotī hai
tirī barq-e-tajallī ke chalan ham se koī pūchhe
chamaktī hai kahīñ lekin kahīñ ma.alūm hotī hai
tirā e.ajāz-e-qudrat hai ki hastī kī numā.ish meñ
zamāne bhar ko shakl apnī hasīñ ma.alūm hotī hai
dil-e-'muztar' ḳhudā ke vāste us se kināra kar
mohabbat dushman-e-jān-e-hazīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat ibtida mein kuchh nahin malum hoti hai
magar phir dushman-e-iman-o-din malum hoti hai
wajud-e-zat aks-e-alam-e-hasti se hai sabit
teri surat hi surat-afrin malum hoti hai
main milna chahta hun tujh se aise tur par ja kar
jahan teri tajalli bhi nahin malum hoti hai
gae hum dair se kabe magar ye kah ke phir aae
ki teri shakl kuchh achchhi wahin malum hoti hai
teri barq-e-tajalli ke chalan hum se koi puchhe
chamakti hai kahin lekin kahin malum hoti hai
tera eajaz-e-qudrat hai ki hasti ki numaish mein
zamane bhar ko shakl apni hasin malum hoti hai
dil-e-'muztar' KHuda ke waste us se kinara kar
mohabbat dushman-e-jaan-e-hazin malum hoti hai
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 182)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.