pabandi-e-ulfat ne sab chhin li aazadi
pābandī-e-ulfat ne sab chhīn lī āzādī
ai husn-e-jafā-pesha sun shikva-e-barbādī
barbādi-e-kāmil meñ thoḌī sī kasar pā kar
us ne mirī mayyat bhī madfan se nikalvā dī
saaqī ne pas-e-murdan pyāsā na mujhe chhoḌā
ik abr ke TukḌe se mai qabr pe barsā dī
vahdat ke ta.alluq meñ kasrat kā mazā aatā
ka.abe meñ agar hotī but-ḳhāne kī ābādī
maidān-e-qayāmat meñ dhūpoñ kā sahārā thī
lekin tire jalve ne kamlī mirī jalvā dī
lailā-e-madīna ne āñkhoñ se kiyā parda
ka.abe ko bhī mātam kī poshāk badalvā dī
'muztar' mujhe chāhat meñ sajdoñ kī zarūrat kyā
ḳhāk-e-dar-e-jānāñ ne qismat mirī chamkā dī
pabandi-e-ulfat ne sab chhin li aazadi
ai husn-e-jafa-pesha sun shikwa-e-barbaadi
barbaadi-e-kaamil mein thoDi si kasar pa kar
us ne meri mayyat bhi madfan se nikalwa di
saqi ne pas-e-murdan pyasa na mujhe chhoDa
ek abr ke TukDe se mai qabr pe barsa di
wahdat ke talluq mein kasrat ka maza aata
kabe mein agar hoti but-KHane ki aabaadi
maidan-e-qayamat mein dhupon ka sahaara thi
lekin tere jalwe ne kamli meri jalwa di
laila-e-madina ne aankhon se kiya parda
kabe ko bhi matam ki poshak badalwa di
'muztar' mujhe chahat mein sajdon ki zarurat kya
KHak-e-dar-e-jaanan ne qismat meri chamka di
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 189)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed AKhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.