dam-e-KHwab-e-rahmat bulaya unhonne to dard-e-nihan ki kahani kahunga
dam-e-KHwab-e-rahmat bulaya unhonne to dard-e-nihan ki kahani kahunga
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
dam-e-ḳhvāb-e-rahmat bulāyā unhoñne to dard-e-nihāñ kī kahānī kahūñgā
mirā haal likhne ke qābil nahīñ hai agar mil ga.e to zabānī kahūñgā
lab-e-jū-e-ulfat ramā.ī hai dhonī yahāñ qissa-e-saḳht-jānī kahūñgā
idhar aa idhar rūh-e-shīrīñ idhar aa tire kohkan kī kahānī kahūñgā
ḳhizar tere chashme kā paanī hai achchhā magar maiñ ise mauj-e-fānī kahūñgā
mohabbat kā maarā huā dil jilā de maiñ tab tere paanī ko paanī kahūñgā
azal meñ hī tujh par nazar paḌ chukī hai na kar mujh se inkār-e-jalva-numā.ī
tajallī tirī go na.ī raushnī hai magar maiñ to is ko purānī kahūñgā
mohabbat meñ inkār-e-jalva-numā.ī zarā is tarīqe ko tū yaad rakhnā
agar maiñ kabhī tere darje pe pahuñchā to maiñ bhī yūñhī lan-tarānī kahūñgā
tirī zāt-e-vāhid hai bedār-e-mutlaq tujhe to kabhī niiñd aatī nahīñ hai
tirī aañkh lagne kī hasrat meñ yārab kahāñ tak maiñ qisse-kahānī kahūñgā
vo ik ā.īna jis meñ muñh dekhte haiñ kisī ek kā vaqf-e-sūrat nahīñ hai
yahīñ se natīja uThā kar duī kā maiñ vahdat ko kasrat kā baanī kahūñgā
ye hastī kā shīsha jo tū ne diyā hai zarā is pe chāhat kī saiqal to kar luuñ
ye ho jaaye phir apnī sūrat ko maiñ bhī tirī zaat kā naqsh-e-sānī kahūñgā
maiñ kyā bevafā huuñ ki mahshar meñ qātil ḳhudā se karūñ shikva-e-qatl apnā
zamāna kahe ḳhūn-e-nāhaq bahāyā agar mujh se pūchhā to paanī kahūñgā
kabhī bāġhbāñ ne bulāyā jo 'muztar' to kāñTe dikhā.ūñgā jo chubh chuke haiñ
kaleje meñ khaTke vo charchā karūñgā jo dil meñ chubhe vo kahānī kahūñgā
dam-e-KHwab-e-rahmat bulaya unhonne to dard-e-nihan ki kahani kahunga
mera haal likhne ke qabil nahin hai agar mil gae to zabani kahunga
lab-e-ju-e-ulfat ramai hai dhoni yahan qissa-e-saKHt-jaani kahunga
idhar aa idhar ruh-e-shirin idhar aa tere kohkan ki kahani kahunga
KHizar tere chashme ka pani hai achchha magar main ise mauj-e-fani kahunga
mohabbat ka mara hua dil jila de main tab tere pani ko pani kahunga
azal mein hi tujh par nazar paD chuki hai na kar mujh se inkar-e-jalwa-numai
tajalli teri go nai raushni hai magar main to is ko purani kahunga
mohabbat mein inkar-e-jalwa-numai zara is tariqe ko tu yaad rakhna
agar main kabhi tere darje pe pahuncha to main bhi yunhi lan-tarani kahunga
teri zat-e-wahid hai bedar-e-mutlaq tujhe to kabhi nind aati nahin hai
teri aankh lagne ki hasrat mein yarab kahan tak main qisse-kahani kahunga
wo ek aaina jis mein munh dekhte hain kisi ek ka waqf-e-surat nahin hai
yahin se natija uTha kar dui ka main wahdat ko kasrat ka bani kahunga
ye hasti ka shisha jo tu ne diya hai zara is pe chahat ki saiqal to kar lun
ye ho jaye phir apni surat ko main bhi teri zat ka naqsh-e-sani kahunga
main kya bewafa hun ki mahshar mein qatil KHuda se karun shikwa-e-qatl apna
zamana kahe KHun-e-nahaq bahaya agar mujh se puchha to pani kahunga
kabhi baghban ne bulaya jo 'muztar' to kanTe dikhaunga jo chubh chuke hain
kaleje mein khaTke wo charcha karunga jo dil mein chubhe wo kahani kahunga
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 198)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.