dekhna hai saqi-e-asli ka mai-KHana mujhe
dekhnā hai sāqī-e-aslī kā mai-ḳhāna mujhe
ab to uupar khīñch le ai daur-e-paimāna mujhe
ālam-e-lāhūt kī miTTī tau maiñ nai chhān lī
ab kahāñ le jā.egā tū kar ke dīvāna mujhe
maiñ añdherī gor huuñ aur tū tajallī tuur kī
raushnī de jā charāġh-e-rū-e-jānāna mujhe
maiñ ne hastī apnī taj dī us kī rasm-e-ishq meñ
lekin is par bhī samajhtā hai vo begāna mujhe
merī chashm-e-shauq ne vahdat kā naqsha khīñch kar
ḳhaas ka.abe meñ dikhāyā hai sanam-ḳhāna mujhe
maiñ tirī ummīd meñ hastī miTā kar miT gayā
ab to ik Thokar lagā de pā-e-jānāna mujhe
chashm-e-sāġhar se ravāñ rahte haiñ har-dam ashk se
aaj tak rotā hai 'muztar' merā but-ḳhāna mujhe
dekhna hai saqi-e-asli ka mai-KHana mujhe
ab to upar khinch le ai daur-e-paimana mujhe
aalam-e-lahut ki miTTi tau main nai chhan li
ab kahan le jaega tu kar ke diwana mujhe
main andheri gor hun aur tu tajalli tur ki
raushni de ja charagh-e-ru-e-jaanana mujhe
main ne hasti apni taj di us ki rasm-e-ishq mein
lekin is par bhi samajhta hai wo begana mujhe
meri chashm-e-shauq ne wahdat ka naqsha khinch kar
KHas kabe mein dikhaya hai sanam-KHana mujhe
main teri ummid mein hasti miTa kar miT gaya
ab to ek Thokar laga de pa-e-jaanana mujhe
chashm-e-saghar se rawan rahte hain har-dam ashk se
aaj tak rota hai 'muztar' mera but-KHana mujhe
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 200)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.