be-parda lagi dil ki badnam yahan kar di
be-parda lagī dil kī badnām yahāñ kar dī
dil le ke ye kyā hālat ai jān-e-jahāñ kar dī
kis laġhzish-e-bejā par mai-noshoñ se rūThā hai
kyuuñ suunī mirī bastī ai pīr-e-muġhāñ kar dī
dardoñ kī davā denā ye kaam to terā hai
is dil kī jo hālat thī vo maiñ ne bayāñ kar dī
ik qatra-e-mai de kar vahdat meñ Duboyā hai
saaqī ne mirī kashtī dariyā meñ ravāñ kar dī
ye mashq-e-jafā kuchh din yuuñ hī jo rahī jaarī
sun lenā ki sab duniyā benām-o-nishāñ kar dī
āñkhoñ meñ tire ghar kā naqsha nazar aatā hai
ka.abe kī siyah-poshī putlī se ayaañ kar dī
ye umr tumheñ 'muztar' duniyā meñ na khonī thī
tum ne to baḌī daulat barbād yahāñ kar dī
be-parda lagi dil ki badnam yahan kar di
dil le ke ye kya haalat ai jaan-e-jahan kar di
kis laghzish-e-beja par mai-noshon se ruTha hai
kyun suni meri basti ai pir-e-mughan kar di
dardon ki dawa dena ye kaam to tera hai
is dil ki jo haalat thi wo main ne bayan kar di
ek qatra-e-mai de kar wahdat mein Duboya hai
saqi ne meri kashti dariya mein rawan kar di
ye mashq-e-jafa kuchh din yun hi jo rahi jari
sun lena ki sab duniya benam-o-nishan kar di
aankhon mein tere ghar ka naqsha nazar aata hai
kabe ki siyah-poshi putli se ayan kar di
ye umr tumhein 'muztar' duniya mein na khoni thi
tum ne to baDi daulat barbaad yahan kar di
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 207)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.