kis shan se uTha hai saqi tera mastana
kis shaan se uThā hai saaqī tirā mastāna
hūreñ liye aatī haiñ paimāne pe paimāna
māthā maiñ ragaḌtā huuñ qismat mirī chamkā de
tujh meñ to sharāre haiñ sañg-e-dar-e-jānāna
nairañgī-e-vahdat se majnūñ kā ye naqsha hai
sūrat to hai lailā kī aur bhes hai mardāna
jis din se duī maiñ ne kho dī hai usī din se
ḳhud nūr-e-haqīqat huuñ ḳhud jalva-e-jānāna
dil merā ma.e-e-hasrat madfan meñ bhī saath aayā
madfan na kaho us ko ye hai mirā ġham-ḳhāna
le ḳhalvat-e-madfan meñ 'muztar' tirā aa pahuñchā
ab chhoḌ de ai vahdat andāz-e-hijābāna
kis shan se uTha hai saqi tera mastana
huren liye aati hain paimane pe paimana
matha main ragaDta hun qismat meri chamka de
tujh mein to sharare hain sang-e-dar-e-jaanana
nairangi-e-wahdat se majnun ka ye naqsha hai
surat to hai laila ki aur bhes hai mardana
jis din se dui main ne kho di hai usi din se
KHud nur-e-haqiqat hun KHud jalwa-e-jaanana
dil mera mae-e-hasrat madfan mein bhi sath aaya
madfan na kaho us ko ye hai mera gham-KHana
le KHalwat-e-madfan mein 'muztar' tera aa pahuncha
ab chhoD de ai wahdat andaz-e-hijabana
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 208)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.