mohabbat ki be-hoshiyan dekhta hun
mohabbat kī be-hoshiyāñ dekhtā huuñ
huuñ be-ḳhud magar mastiyāñ dekhtā huuñ
ġharīq-e-fanā hastiyāñ dekhtā huuñ
talātum kī nairañgiyāñ dekhtā huuñ
sharāb-e-mohabbat ne kholī haiñ āñkheñ
tire husn kī garmiyāñ dekhtā huuñ
bahut yaad aatī hai chashm-e-taġhāful
kaleje meñ jab barchhiyāñ dekhtā huuñ
junūn-e-mohabbat kī aatī haiñ yādeñ
garebāñ kī jab dhajjiyāñ dekhtā huuñ
unhoñ-ne kabhī terā dāman na thāmā
maiñ rotā huuñ jab uñgliyāñ dekhtā huuñ
ye koh-e-alam kyuuñ uThātā maiñ lekin
tire vāste saḳhtiyāñ dekhtā huuñ
ye bijlī bhī us kī ye tinke bhī us ke
maiñ kyuuñ jānib-e-āshiyāñ dekhtā huuñ
nasheman mirā kaash patte chhupā leñ
chamakte hue bijliyāñ dekhtā huuñ
butoñ se bachā thā ki pūjūñgā tujh ko
magar is meñ bhī saḳhtiyāñ dekhtā huuñ
falak phūñk detā na aahoñ se 'muztar'
na jaane maiñ kyā darmiyāñ dekhtā huuñ
mohabbat ki be-hoshiyan dekhta hun
hun be-KHud magar mastiyan dekhta hun
ghariq-e-fana hastiyan dekhta hun
talatum ki nairangiyan dekhta hun
sharab-e-mohabbat ne kholi hain aankhen
tere husn ki garmiyan dekhta hun
bahut yaad aati hai chashm-e-taghaful
kaleje mein jab barchhiyan dekhta hun
junun-e-mohabbat ki aati hain yaaden
gareban ki jab dhajjiyan dekhta hun
unhon-ne kabhi tera daman na thama
main rota hun jab ungliyan dekhta hun
ye koh-e-alam kyun uThata main lekin
tere waste saKHtiyan dekhta hun
ye bijli bhi us ki ye tinke bhi us ke
main kyun jaanib-e-ashiyan dekhta hun
nasheman mera kash patte chhupa len
chamakte hue bijliyan dekhta hun
buton se bacha tha ki pujunga tujh ko
magar is mein bhi saKHtiyan dekhta hun
falak phunk deta na aahon se 'muztar'
na jaane main kya darmiyan dekhta hun
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 237)
- Author : Muztar Khairabai
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.