aankh khulte hi tera jalwa nazar aane laga
aañkh khulte hī tirā jalvā nazar aane lagā
tū mujhe parde meñ be-pardā nazar aane lagā
be-piye dariyā ko qatra jāntā thā ishq meñ
jab se pī qatra mujhe dariyā nazar aane lagā
mujh ko mere ishq ne pahuñchā diyā aisī jagah
jis jagah se arsh bhī nīchā nazar aane lagā
shīsha-e-dil kī safā.ī TuuT kar zāhir huī
dil ke har TukḌe meñ muñh terā nazar aane lagā
is se pahle aañkh kī putlī kī kyā auqāt thī
tere nuqta dete hī kyā kyā nazar aane lagā
tark-e-hastī se mirī ḳhāna-badoshī miT ga.ī
lā-makāñ pahuñchā to ghar apnā nazar aane lagā
ḳhalvat-e-vahdat meñ qaid-e-bandagī jaatī rahī
mujh ko apnī zaat meñ maulā nazar aane lagā
dasht meñ majnūñ ke armānoñ kī tasvīreñ khiñchīñ
har shajar meñ jalvā-e-laila nazar aane lagā
naqsh-e-sūrat ne patā jis rose se terā diyā
but-kada us rose se ka.abā nazar aane lagā
TikTikī bāñdhī hai kyuuñ 'muztar' ne vaqt-e-vāpsīñ
kyā nishān-e-manzil-e-uqbā nazar aane lagā
aankh khulte hi tera jalwa nazar aane laga
tu mujhe parde mein be-parda nazar aane laga
be-piye dariya ko qatra jaanta tha ishq mein
jab se pi qatra mujhe dariya nazar aane laga
mujh ko mere ishq ne pahuncha diya aisi jagah
jis jagah se arsh bhi nicha nazar aane laga
shisha-e-dil ki safai TuT kar zahir hui
dil ke har TukDe mein munh tera nazar aane laga
is se pahle aankh ki putli ki kya auqat thi
tere nuqta dete hi kya kya nazar aane laga
tark-e-hasti se meri KHana-badoshi miT gai
la-makan pahuncha to ghar apna nazar aane laga
KHalwat-e-wahdat mein qaid-e-bandagi jati rahi
mujh ko apni zat mein maula nazar aane laga
dasht mein majnun ke armanon ki taswiren khinchin
har shajar mein jalwa-e-laila nazar aane laga
naqsh-e-surat ne pata jis rose se tera diya
but-kada us rose se kaba nazar aane laga
TikTiki bandhi hai kyun 'muztar' ne waqt-e-wapsin
kya nishan-e-manzil-e-uqba nazar aane laga
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 251)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.