mujhe kose wo zalim ya dua de
mujhe kose vo zālim yā duā de
mohabbat ho to ye sab kuchh mazā de
mire dil kī lagī kā faisla kar
ḳhudā-rā dāman-e-jānāñ havā de
nikaltī hai tamannā jaan ke saath
hujūm-e-nā-ummīdī rāstā de
jo dil le kar na de dād-e-mohabbat
koī aise se kyā le aur kyā de
vo aa.e haiñ zarā maiñ baat kar luuñ
ijāzat ai dil-e-dard-āshnā de
farishte kyuuñ satāte haiñ lahad meñ
ḳhudā mālik hai jo chāhe sazā de
ḳhudā.ī chāhtī hai us ko 'muztar'
nasīb us kā hai ab jis ko ḳhudā de
mujhe kose wo zalim ya dua de
mohabbat ho to ye sab kuchh maza de
mere dil ki lagi ka faisla kar
KHuda-ra daman-e-jaanan hawa de
nikalti hai tamanna jaan ke sath
hujum-e-na-ummidi rasta de
jo dil le kar na de dad-e-mohabbat
koi aise se kya le aur kya de
wo aae hain zara main baat kar lun
ijazat ai dil-e-dard-ashna de
farishte kyun satate hain lahad mein
KHuda malik hai jo chahe saza de
KHudai chahti hai us ko 'muztar'
nasib us ka hai ab jis ko KHuda de
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 207)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.