ilahi KHair zoron par butan-e-pur-ghurur aae
ilāhī ḳhair zoroñ par butān-e-pur-ġhurūr aa.e
kahīñ aisā na ho īmān-e-ālam meñ futūr aa.e
yahī sūrat vahāñ thī be-zarūrat but-kada chhoḌā
ḳhudā ke ghar meñ rakhā kyā hai nāhaq itnī duur aa.e
butoñ se ham husūl-e-sabr kī ummīd kyuuñ rakheñ
ye kyā deñge ḳhudā ke paas se ḳhud nā-subūr aa.e
maqām-e-gor to ai hazrat-e-dil pahlī manzil hai
abhī chalnā paḌegā ye na pūchho kitnī duur aa.e
tumhārī jalva-gāh-e-nāz meñ andher hī kab tak
ye muusā dauḌ kar kis ko dikhāne sham-e-tūr aa.e
mohabbat ek shai hotī hai itnā sun to ab rakkho
samajh us vaqt lenā jab javānī meñ shu.ūr aa.e
tum apnī zulf kholo phir dil-e-pur-dāġh chamkegā
añdherā ho to kuchh kuchh sham.a kī āñkhoñ meñ nuur aa.e
vahāñ to hazrat-e-zāhid tumheñ achchhoñ se nafrat thī
yahāñ jannat meñ ab kis muñh se tum lene ko huur aa.e
masāfat manzil-e-maqsūd kī ham se koī pūchhe
hamārā hī kaleja jāntā hai jitnī duur aa.e
ḳhudā sarkār ke iqbāl-o-daulat meñ taraqqī de
'rasā'-o-'bazm-o-'muztar' jin ke dam se rāmpūr aa.e
ilahi KHair zoron par butan-e-pur-ghurur aae
kahin aisa na ho iman-e-alam mein futur aae
yahi surat wahan thi be-zarurat but-kada chhoDa
KHuda ke ghar mein rakha kya hai nahaq itni dur aae
buton se hum husul-e-sabr ki ummid kyun rakhen
ye kya denge KHuda ke pas se KHud na-subur aae
maqam-e-gor to ai hazrat-e-dil pahli manzil hai
abhi chalna paDega ye na puchho kitni dur aae
tumhaari jalwa-gah-e-naz mein andher hi kab tak
ye musa dauD kar kis ko dikhane sham-e-tur aae
mohabbat ek shai hoti hai itna sun to ab rakkho
samajh us waqt lena jab jawani mein shuur aae
tum apni zulf kholo phir dil-e-pur-dagh chamkega
andhera ho to kuchh kuchh shama ki aankhon mein nur aae
wahan to hazrat-e-zahid tumhein achchhon se nafrat thi
yahan jannat mein ab kis munh se tum lene ko hur aae
masafat manzil-e-maqsud ki hum se koi puchhe
hamara hi kaleja jaanta hai jitni dur aae
KHuda sarkar ke iqbaal-o-daulat mein taraqqi de
'rasa'-o-'bazm-o-'muztar' jin ke dam se rampur aae
- Book : Khirman Part 1 (Pg. 269)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Ahmad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.