kuchh aisa dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aaya

kuchh aisa dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aaya
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
kuchh aisā dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aayā
ki vo ḳhud rañg ban kar chehra-e-gul se nikal aayā
haqīqat kā nishāñ chashm-e-tāmmul se nikal aayā
hamāre juzv-e-hastī kā pata kul se nikal aayā
batāyā haal yuñ kuuze meñ dariyā ke samāne kā
ki saaqī ḳhud mujassam sāġhar-e-mul se nikal aayā
kisī kī be-niyāzī par maiñ apnī jaan detā huuñ
gile ke vāsta teġh-e-taġhāful se nikal aayā
añdherā qabr kā dekhā to phir yaad aa ga.e gesū
maiñ samjhā thā ki ab maiñ tere kākul se nikal aayā
maiñ samjhūñgā ki mere dāġh-e-isyāñ dhul ga.e saare
agar aañsū tirī chashm-e-taġhāful se nikal aayā
azān-e-panj-vaqta par kabhī muñh se nahīñ bolā
magar rindoñ ne jab fariyād kī ġhul se nikal aayā
qanā.at dūsre ke āsare kā naam hai 'muztar'
ḳhudā hai jo koī hadd-e-tavakkul se nikal aayā
kuchh aisa dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aaya
ki wo KHud rang ban kar chehra-e-gul se nikal aaya
haqiqat ka nishan chashm-e-tammul se nikal aaya
hamare juzw-e-hasti ka pata kul se nikal aaya
bataya haal yun kuze mein dariya ke samane ka
ki saqi KHud mujassam saghar-e-mul se nikal aaya
kisi ki be-niyazi par main apni jaan deta hun
gile ke wasta tegh-e-taghaful se nikal aaya
andhera qabr ka dekha to phir yaad aa gae gesu
main samjha tha ki ab main tere kakul se nikal aaya
main samjhunga ki mere dagh-e-isyan dhul gae sare
agar aansu teri chashm-e-taghaful se nikal aaya
azan-e-panj-waqta par kabhi munh se nahin bola
magar rindon ne jab fariyaad ki ghul se nikal aaya
qanaat dusre ke aasare ka nam hai 'muztar'
KHuda hai jo koi hadd-e-tawakkul se nikal aaya
- Book : Khirman Part - 2 (Pg. 164)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Jawed Akhtar (2015)
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 72)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.