muztarib ho kar koi ba-chashm-e-tar aa hi gaya
muztarib ho kar koī bā-chashm-e-tar aa hī gayā
aaj dariyā-e-mohabbat josh par aa hī gayā
aaj vaqt-e-shām vo jān-e-sahar aa hī gayā
marhabā ai ziist nāloñ meñ asar aa hī gayā
aah meñ ai zauq-e-nazzāra asar aa hī gayā
thā jo parde meñ vo be-parda nazar aa hī gayā
iqtizā-e-dil ke aage zabt kī chaltī nahīñ
terī mahfil meñ na aanā thā magar aa hī gayā
zauq-e-be-pāyāñ ke qurbāñ jalva-e-husn-e-azal
jis taraf nazreñ uThīñ mujh ko nazar aa hī gayā
maiñ ne piine kā irāda hī kiyā thā us taraf
sāġhar-e-sahbā liye saaqī idhar aa hī gayā
is qadar royā hai koī hijr-e-jānāñ meñ 'azīz'
ashk ban kar aañkh meñ ḳhūn-e-jigar aa hī gayā
muztarib ho kar koi ba-chashm-e-tar aa hi gaya
aaj dariya-e-mohabbat josh par aa hi gaya
aaj waqt-e-sham wo jaan-e-sahar aa hi gaya
marhaba ai zist nalon mein asar aa hi gaya
aah mein ai zauq-e-nazzara asar aa hi gaya
tha jo parde mein wo be-parda nazar aa hi gaya
iqtiza-e-dil ke aage zabt ki chalti nahin
teri mahfil mein na aana tha magar aa hi gaya
zauq-e-be-payan ke qurban jalwa-e-husn-e-azal
jis taraf nazren uThin mujh ko nazar aa hi gaya
main ne pine ka irada hi kiya tha us taraf
saghar-e-sahba liye saqi idhar aa hi gaya
is qadar roya hai koi hijr-e-jaanan mein 'aziz'
ashk ban kar aankh mein KHun-e-jigar aa hi gaya
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 35)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.