na aaya hamein ishq karna na aaya
na aayā hameñ ishq karnā na aayā
mare umr bhar aur marnā na aayā
ye dil kī taḌap kyā lahad ko hilātī
tumheñ qabr par paañv dharnā na aayā
namak-dāñ kiye tum ne go laakh ḳhālī
namak tum ko zaḳhmoñ meñ bharnā na aayā
yahī din the sau sau tarah tum sañvarte
javānī to aa.ī sañvarnā na aayā
dabānā thā kāfir hasīnoñ kā joban
mare dāġh-e-dil ko ubharnā na aayā
tirī teġh kyā kyā nahā.ī lahū meñ
tirī tarh lekin nikharnā na aayā
sunā kar vo kahte haiñ kis bhole-pan se
hameñ va.ada kar ke mukarnā na aayā
bane pañkhuḌī naqsh-e-pā kab lahad par
tujhe ai sabā gul katarnā na aayā
'riyāz' apnī qismat ko ab kyā kahūñ meñ
bigaḌnā to aayā sañvarnā na aayā
na aaya hamein ishq karna na aaya
mare umr bhar aur marna na aaya
ye dil ki taDap kya lahad ko hilati
tumhein qabr par panw dharna na aaya
namak-dan kiye tum ne go lakh KHali
namak tum ko zaKHmon mein bharna na aaya
yahi din the sau sau tarah tum sanwarte
jawani to aai sanwarna na aaya
dabana tha kafir hasinon ka joban
mare dagh-e-dil ko ubharna na aaya
teri tegh kya kya nahai lahu mein
teri tarh lekin nikharna na aaya
suna kar wo kahte hain kis bhole-pan se
hamein wada kar ke mukarna na aaya
bane pankhuDi naqsh-e-pa kab lahad par
tujhe ai saba gul katarna na aaya
'riyaz' apni qismat ko ab kya kahun mein
bigaDna to aaya sanwarna na aaya
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 187)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.