na bahak saka wo waqif jo hai teri rahguzar se
Interesting Fact
مشاعرہ لکھنؤ
na bahak sakā vo vāqif jo hai terī rahguzar se
na sambhal sakā kabhī vo jo girā tirī nazar se
na ye sozish-e-jigar se na ye vird ke asar se
ye fuġhāñ mire laboñ par hai mufāraqat ke Dar se
tere sadqe husn-e-jānāñ ye kahāñ kā faisla hai
jise diid kī ho hasrat vahī dekhne ko tarse
mire āñsuoñ ke qatre haiñ chārāġh-e-rah-e-manzil
unheñ raushnī milī hai tapish-e-dil-o-jigar se
mirā sajda-e-mohabbat kabhī is tarah adā ho
ki mirī jabīñ jhuke jab na uThe tumhāre dar se
ye duā hai sar pe rakh kar tirī ḳhāk-e-āstāñ ko
ki ye merā tāj-e-shāhī na judā ho mire sar se
tere mai-kade meñ saaqī nahīñ jab rivāj-e-sāġhar
to shu.ūr-e-bāda-noshī ho atā mujhe nazar se
use ḳhuld ne pukārā use rūhoñ ne bulāyā
magar apnī dhun meñ 'jauhar' na uThā tumhāre dar se
na bahak saka wo waqif jo hai teri rahguzar se
na sambhal saka kabhi wo jo gira teri nazar se
na ye sozish-e-jigar se na ye wird ke asar se
ye fughan mere labon par hai mufaraqat ke Dar se
tere sadqe husn-e-jaanan ye kahan ka faisla hai
jise did ki ho hasrat wahi dekhne ko tarse
mere aansuon ke qatre hain chaaragh-e-rah-e-manzil
unhen raushni mili hai tapish-e-dil-o-jigar se
mera sajda-e-mohabbat kabhi is tarah ada ho
ki meri jabin jhuke jab na uThe tumhaare dar se
ye dua hai sar pe rakh kar teri KHak-e-astan ko
ki ye mera taj-e-shahi na juda ho mere sar se
tere mai-kade mein saqi nahin jab riwaj-e-saghar
to shuur-e-baada-noshi ho ata mujhe nazar se
use KHuld ne pukara use ruhon ne bulaya
magar apni dhun mein 'jauhar' na uTha tumhaare dar se
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 157)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.