na burqa ruKH pe hoga aur na parda darmiyan hoga
na burqā ruḳh pe hogā aur na parda darmiyāñ hogā
qayāmat meñ ye ai parda-nashīñ parda kahāñ hogā
na jab ahl-e-makāñ hoñge na jab koī makāñ hogā
jahāñ kā rañg kyā us vaqt ai ahl-e-jahāñ hogā
judā paayā hamesha ham ne maslak ishq vāloñ kā
hamārā maqbara dair-o-haram ke darmiyāñ hogā
maiñ vo gul huuñ na fursat dī ḳhizāñ ne jis ko hañsne kī
charāġh-e-qabr bhī jal kar na apnā gul-fishāñ hogā
karoge jab kisī se ishq tab dekhoge rañg us kā
ye sau parde meñ jhalkegā ye chhup kar bhī ayaañ hogā
adū ko āzmāoge ki ham ko āzmāoge
hamārā imtihāñ hogā ki us kā imtihāñ hogā
taraqqī ishq kī jaulāñ karegī aur vahshat ko
jahāñ tak aag ye bhaḌkegī utnā hī dhuāñ hogā
bagūloñ kī tarah sahrā meñ maare maare phirte haiñ
hamārā dukh vahī samjhegā jo be-ḳhānumāñ hogā
nahīñ āsān paanā hashr meñ yārān-e-rafta kā
vahāñ to har qadam par kārvāñ-dar-kārvāñ hogā
ilāhī paar kab utreñge dariyā-e-shahādat ke
ḳhudāyā kab safīna āb-e-ḳhanjar meñ ravāñ hogā
khulegā hashr meñ nāz-o-niyāz-e-ishq kā uqda
maiñ us kā mehmāñ hūñgā vo merā mezbāñ hogā
adam kyā hashr meñ bhī ro.eñge yārān-e-rafta ko
kahāñ ham hoñge jāneñ qāfila apnā kahāñ hogā
yahī pahchān bahr-e-ġham meñ hogī merī kashtī kī
na us par nāḳhudā hogā na us meñ bādbāñ hogā
usī se pūchh lenā tum pashemānī-e-ulfat ko
pas-e-dīvār rakkhe sar pe haath ik naujavāñ hogā
hamāre ḳhāna-e-dil meñ hai jaisā kuchh ki sannāTā
ziyāda is se kyā vīrān majnūñ kā makāñ hogā
vo ghar kī raah legā aur adam kī raah ham leñge
hamārā faisla shab darmiyāñ vaqt-e-azāñ hogā
galī meñ apne bīmāroñ ko vo rahne nahīñ detā
kahāñ maut aa.egī yārab mazār apnā kahāñ hogā
ayaañ jo ho chukā aalam meñ aalam par na mar us ke
abhī to ḳhaak ke parde meñ kyā kyā kuchh nihāñ hogā
jise dekhā thā zer-e-naqsh-e-pā kūche meñ kal tū ne
vo terā nīm-jāñ hogā vo terā nā-tavāñ hogā
jahāñ haiñ mahv-e-naġhma bulbuleñ gul jis meñ ḳhandāñ haiñ
usī gulshan meñ kal zāġh-o-zaġhan kā āshiyāñ hogā
sahāre par jo sarsar ke uThā thā gir paḌā uTh ke
vo us kūcha meñ merā hī ġhubār-e-nā-tavāñ hogā
usī jānib chale jā.eñge vahshī tire be-khaTke
jidhar ḳhār-e-bayābān-e-junūñ dāman-kashāñ hogā
maqām-e-imtihāñ ḳhāliq ne aalam ko banāyā hai
yahāñ jab tak rahoge imtihāñ hī imtihāñ hogā
talāsh-e-yār se fāriġh na hoñge ba.ad-murdan bhī
jidhar jā.egī apnī ruuh lāsha bhī ravāñ hogā
tire kūche meñ aksar ik bagūla ḳhaak uḌātā hai
miTā Daalā jise tū ne vahī be-ḳhānumāñ hogā
yahī kyā 'arsh' thā jo paḌh gayā andāz-e-'momin' meñ
thiiñ tarkībeñ alag sab se vahī jādū-bayāñ hogā
na burqa ruKH pe hoga aur na parda darmiyan hoga
qayamat mein ye ai parda-nashin parda kahan hoga
na jab ahl-e-makan honge na jab koi makan hoga
jahan ka rang kya us waqt ai ahl-e-jahan hoga
juda paya hamesha hum ne maslak ishq walon ka
hamara maqbara dair-o-haram ke darmiyan hoga
main wo gul hun na fursat di KHizan ne jis ko hansne ki
charagh-e-qabr bhi jal kar na apna gul-fishan hoga
karoge jab kisi se ishq tab dekhoge rang us ka
ye sau parde mein jhalkega ye chhup kar bhi ayan hoga
adu ko aazmaoge ki hum ko aazmaoge
hamara imtihan hoga ki us ka imtihan hoga
taraqqi ishq ki jaulan karegi aur wahshat ko
jahan tak aag ye bhaDkegi utna hi dhuan hoga
bagulon ki tarah sahra mein mare mare phirte hain
hamara dukh wahi samjhega jo be-KHanuman hoga
nahin aasan pana hashr mein yaran-e-rafta ka
wahan to har qadam par karwan-dar-karwan hoga
ilahi par kab utrenge dariya-e-shahadat ke
KHudaya kab safina aab-e-KHanjar mein rawan hoga
khulega hashr mein naz-o-niyaz-e-ishq ka uqda
main us ka mehman hunga wo mera mezban hoga
adam kya hashr mein bhi roenge yaran-e-rafta ko
kahan hum honge jaanen qafila apna kahan hoga
yahi pahchan bahr-e-gham mein hogi meri kashti ki
na us par naKHuda hoga na us mein baadban hoga
usi se puchh lena tum pashemani-e-ulfat ko
pas-e-diwar rakkhe sar pe hath ek naujawan hoga
hamare KHana-e-dil mein hai jaisa kuchh ki sannaTa
ziyaada is se kya viran majnun ka makan hoga
wo ghar ki rah lega aur adam ki rah hum lenge
hamara faisla shab darmiyan waqt-e-azan hoga
gali mein apne bimaron ko wo rahne nahin deta
kahan maut aaegi yarab mazar apna kahan hoga
ayan jo ho chuka aalam mein aalam par na mar us ke
abhi to KHak ke parde mein kya kya kuchh nihan hoga
jise dekha tha zer-e-naqsh-e-pa kuche mein kal tu ne
wo tera nim-jaan hoga wo tera na-tawan hoga
jahan hain mahw-e-naghma bulbulen gul jis mein KHandan hain
usi gulshan mein kal zagh-o-zaghan ka aashiyan hoga
sahaare par jo sarsar ke uTha tha gir paDa uTh ke
wo us kucha mein mera hi ghubar-e-na-tawan hoga
usi jaanib chale jaenge wahshi tere be-khaTke
jidhar KHar-e-bayaban-e-junun daman-kashan hoga
maqam-e-imtihan KHaliq ne aalam ko banaya hai
yahan jab tak rahoge imtihan hi imtihan hoga
talash-e-yar se farigh na honge baad-murdan bhi
jidhar jaegi apni ruh lasha bhi rawan hoga
tere kuche mein aksar ek bagula KHak uData hai
miTa Dala jise tu ne wahi be-KHanuman hoga
yahi kya 'arsh' tha jo paDh gaya andaz-e-'momin' mein
thin tarkiben alag sab se wahi jadu-bayan hoga
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 200)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.