na hamein sud na ziyan hai yaad
na hameñ suud na ziyāñ hai yaad
sirf ye nāla-o-fuġhāñ hai yaad
hoshyāroñ se pūchh ye bāteñ
aap ko bhūle jab kahāñ hai yaad
go ke muddat se is qafas meñ haiñ
par qadīm apnā āshiyāñ hai yaad
vahm ke apne sab mufassir haiñ
be-nishāñ kā kise nishāñ hai yaad
dil to aur hī makāñ meñ phirtā hai
na zamīñ hai na āsmāñ hai yaad
aage kuchh kuchh jo ham se kahte the
is se kuchh tum ko mehrbāñ hai yaad
na hamein sud na ziyan hai yaad
sirf ye nala-o-fughan hai yaad
hoshyaron se puchh ye baaten
aap ko bhule jab kahan hai yaad
go ke muddat se is qafas mein hain
par qadim apna aashiyan hai yaad
wahm ke apne sab mufassir hain
be-nishan ka kise nishan hai yaad
dil to aur hi makan mein phirta hai
na zamin hai na aasman hai yaad
aage kuchh kuchh jo hum se kahte the
is se kuchh tum ko mehrban hai yaad
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 95)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.