na kar saKHti sitamgar saKHt-jaan par
na kar saḳhtī sitamgar saḳht-jāñ par
paḌā rahne de sañg-e-āstāñ par
liye phirtī hai ashkoñ kī ravānī
ravāñ huuñ kashti-e-āb-e-ravāñ par
hamārī āh-e-sozāñ ke sharāre
sitāre ban ga.e haiñ āsmāñ par
ye mujh ko saḳht-jānī par hai ġharrā
paTakte sar haiñ sañg-e-āstāñ par
chalā jaatā nahīñ uftādgī se
paḌā huuñ naqsh-e-pā-e-rahravāñ par
tasavvur meñ huā josh-e-tahayyur
vahīñ baiThā rahā baiThā jahāñ par
batā de mujh ko ai betābī-e-dil
zamīñ par hai ki bijlī āsmāñ par
syāhī tīra-baḳhtī kī hamārī
shab-e-ġham ban ga.ī hai āsmāñ par
ye dariyā-e-mohabbat maujzan hai
paḌā huuñ bistar-e-ashk-e-ravāñ par
maiñ ik tasvīr-e-dīvār-e-makāñ huuñ
hai sab kuchh aur nahīñ kuchh bhī zabāñ par
subuk-rūhī se itnā huuñ subuk maiñ
ravāñ huuñ zarra-e-reg-e-ravāñ par
mo.azzin tujh ko āḳhir ye huā kyā
are zālim azaañ kaisī azaañ par
ġharaz us kī galī meñ kaT ga.ī shab
yahāñ par gaahe thā gaahe vahāñ par
salāmat hai jo apnī lāġharī ye
na hūñgā paar mor-e-nā-tavāñ par
habāb-āsā nahīñ hājat ḳhizar kī
chaleñ kyuuñ naqsh-e-pā-e-dahr vaañ par
nishān-e-be-nishānī kah rahā hai
miTe jaate ho kyuuñ nām-o-nishāñ par
buto sun lo maiñ 'momin-ḳhāñ' nahīñ huuñ
ki īmāñ lā.ūñ us jhūTe bayāñ par
chalo do-ghūñT pī lo tum bhī ai 'arsh'
hai ik melā dar-e-pīr-e-muġhāñ par
na kar saKHti sitamgar saKHt-jaan par
paDa rahne de sang-e-astan par
liye phirti hai ashkon ki rawani
rawan hun kashti-e-ab-e-rawan par
hamari aah-e-sozan ke sharare
sitare ban gae hain aasman par
ye mujh ko saKHt-jaani par hai gharra
paTakte sar hain sang-e-astan par
chala jata nahin uftadgi se
paDa hun naqsh-e-pa-e-rahrawan par
tasawwur mein hua josh-e-tahayyur
wahin baiTha raha baiTha jahan par
bata de mujh ko ai betabi-e-dil
zamin par hai ki bijli aasman par
syahi tira-baKHti ki hamari
shab-e-gham ban gai hai aasman par
ye dariya-e-mohabbat maujzan hai
paDa hun bistar-e-ashk-e-rawan par
main ek taswir-e-diwar-e-makan hun
hai sab kuchh aur nahin kuchh bhi zaban par
subuk-ruhi se itna hun subuk main
rawan hun zarra-e-reg-e-rawan par
moazzin tujh ko aaKHir ye hua kya
are zalim azan kaisi azan par
gharaz us ki gali mein kaT gai shab
yahan par gahe tha gahe wahan par
salamat hai jo apni laghari ye
na hunga par mor-e-na-tawan par
habab-asa nahin hajat KHizar ki
chalen kyun naqsh-e-pa-e-dahr wan par
nishan-e-be-nishani kah raha hai
miTe jate ho kyun nam-o-nishan par
buto sun lo main 'momin-KHan' nahin hun
ki iman laun us jhuTe bayan par
chalo do-ghunT pi lo tum bhi ai 'arsh'
hai ek mela dar-e-pir-e-mughan par
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 76)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.