Sufinama

na kisi amir ki justuju hai na rahnuma ki talash hai

Turfa Qureshi

na kisi amir ki justuju hai na rahnuma ki talash hai

Turfa Qureshi

MORE BYTurfa Qureshi

    na kisī amiir justujū hai na rahnumā talāsh hai

    mire kārvān-e-nigāh ko tire naqsh-e-pā talāsh hai

    na haram samt nazar uThā na baḌhā qadam sū-e-but-kadā

    vo hai dil jaloñ karāh meñ tujhe jis ḳhudā talāsh hai

    ye jahāñ hai qulzum imtihāñ yahāñ apnā ḳhizr hai har javāñ

    lage us ke haath kināra kyuuñ jise nāḳhudā talāsh hai

    na bhaTak jahāñ meñ dar-badar na akelā phir idhar udhar

    mire saath chal mirā saath de ki mujhe ḳhudā talāsh hai

    mire shauq sajda-e-ishq par kare zarra zarra na kyuuñ nazar

    ki mirī jabīn-e-niyāz ko tire naqsh-e-pā talāsh hai

    uThe har qadam pe nazar na kyuuñ jhuke dam-ba-dam mirā sar na kyuuñ

    rah-e-zindagī-e-darāz meñ mujhe ġham rubā talāsh hai

    maiñ ḳhudā huuñ aur na ḳhudā-numā magar us juz-o-latīf huuñ

    mujhe rakh apnī nigāh meñ jo tujhe ḳhudā talāsh hai

    na kisi amir ki justuju hai na rahnuma ki talash hai

    mere karwan-e-nigah ko tere naqsh-e-pa ki talash hai

    na haram ki samt nazar uTha na baDha qadam su-e-but-kada

    wo hai dil jalon ki karah mein tujhe jis KHuda ki talash hai

    ye jahan hai qulzum imtihan yahan apna KHizr hai har jawan

    lage us ke hath kinara kyun jise naKHuda ki talash hai

    na bhaTak jahan mein tu dar-badar na akela phir tu idhar udhar

    mere sath chal mera sath de ki mujhe KHuda ki talash hai

    mere shauq sajda-e-ishq par kare zarra zarra na kyun nazar

    ki meri jabin-e-niyaz ko tere naqsh-e-pa ki talash hai

    uThe har qadam pe nazar na kyun jhuke dam-ba-dam mera sar na kyun

    rah-e-zindagi-e-daraaz mein mujhe gham ruba ki talash hai

    main KHuda hun aur na KHuda-numa magar us ka juz-o-latif hun

    mujhe rakh tu apni nigah mein jo tujhe KHuda ki talash hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now