na puchho kis liye zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
na puchho kis liye zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
na pūchho kis liye zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
is ā.īne meñ tumhārī nazar ko dekhte haiñ
dam-e-fanā pahlī nazar ko dekhte haiñ
ham aaj shaam meñ shāmil-e-sahar ko dekhte haiñ
kuchh is tarh huiiñ taqsīm shoḳhiyāñ un kī
har ek ne yahī samjhā udhar ko dekhte haiñ
shikast-e-dil kā yahāñ ab ḳhayāl hai kis ko
tumhārī āñkhoñ meñ kaif-e-zafar ko dekhte haiñ
kahāñ-kahāñ hai ḳhalish dard kī ma.āz-allāh
kahāñ-kahāñ tirī tirchhī nazar ko dekhte haiñ
bahut buland hai merī nigāh ai 'maikash'
vo aur hoñge jo 'aib-o-hunar ko dekhte haiñ
na puchho kis liye zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
is aaine mein tumhaari nazar ko dekhte hain
dam-e-fana pahli nazar ko dekhte hain
hum aaj sham mein shamil-e-sahar ko dekhte hain
kuchh is tarh huin taqsim shoKHiyan un ki
har ek ne yahi samjha udhar ko dekhte hain
shikast-e-dil ka yahan ab KHayal hai kis ko
tumhaari aankhon mein kaif-e-zafar ko dekhte hain
kahan-kahan hai KHalish dard ki maaz-allah
kahan-kahan teri tirchhi nazar ko dekhte hain
bahut buland hai meri nigah ai 'maikash'
wo aur honge jo 'aib-o-hunar ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.