na sajde pe b-pe haun ge sajdon ka nishan hoga
na sajde pe b-pe hauñ ge sajdoñ kā nishāñ hogā
jabīñ hogī hamārī aur un kā āstāñ hogā
nikal kar tere kūche se guzar merā jahāñ hogā
hazāroñ āsmāñ hoñge vahāñ ek āsmāñ hogā
zamīñ par ab nayā paidā javāb-e-āsmāñ hogā
tirā kūcha tire naqsh-e-qadam se kahkashāñ hogā
kahīñ muñh chuum le un kā na koī aisī bātoñ par
mare aage sar-e-bazm-e-adū merā bayāñ hogā
qafas meñ aa.uuñ to degā jagah sayyād āñkhoñ meñ
chaman meñ jā۔ūñ to har phuul merā āshiyāñ hogā
bat-e-mai kā shikār achchhā rahegā aaj ai rindo
lab jo sabza hogā sāmne āb-e-ravāñ hogā
bahut hī ḳhair guzrī hote hote rah ga.ī us se
jise meñ ġhair samjhā huuñ vo un kā pāsbāñ hogā
rahā meñ phuul ban kar naḳhl-e-gul kī Dālī-Dālī par
mirā rahnā chaman meñ bāġhbāñ par kyuuñ girāñ hogā
kal āh-e-garm se jis ne girā.īñ bijliyāñ sab par
tumhāre be-qarāroñ meñ koī ātish-ba-jāñ hogā
liye nāqūs koī dair vaalā aaj aayā hai
agar sach hai to ka.abe meñ mazā vaqt-e-azāñ hogā
buto ham ko rulā.egā ye nazzārā-e-asīrī meñ
qafas meñ hoñge ham mauj-e-havā par āshiyāñ hogā
sharāb-e-nāb to kyā aag paanī ban ke barse gī
agar abr-e-bahār us ātish-e-gul kā dhuāñ hogā
vahāñ bhī phuul barseñge in ummat par
jo do-chār aa.e ham se to jahannam bhī jināñ hogā
lahū ro.eñge mere zaḳhm-e-dāman rakh ke āñkhoñ par
tumhārā daaġh dāman hashr meñ jab gul-fashāñ hogā
zarīya hai yahī rahmat kā kah de tū hī ai zāhid
ye merā phuul sā bār-e-gunah mujh par girāñ hogā
tirā dīvāñ to shaa.e ho jagah sab aañkh par deñge
'riyāz' ash.ār kā tere zamāna qadar-dāñ hogā
na sajde pe b-pe haun ge sajdon ka nishan hoga
jabin hogi hamari aur un ka aastan hoga
nikal kar tere kuche se guzar mera jahan hoga
hazaron aasman honge wahan ek aasman hoga
zamin par ab naya paida jawab-e-asman hoga
tera kucha tere naqsh-e-qadam se kahkashan hoga
kahin munh chum le un ka na koi aisi baaton par
mare aage sar-e-bazm-e-adu mera bayan hoga
qafas mein aaun to dega jagah sayyaad aankhon mein
chaman mein ja۔un to har phul mera aashiyan hoga
bat-e-mai ka shikar achchha rahega aaj ai rindo
lab jo sabza hoga samne aab-e-rawan hoga
bahut hi KHair guzri hote hote rah gai us se
jise mein ghair samjha hun wo un ka pasban hoga
raha mein phul ban kar naKHl-e-gul ki Dali-Dali par
mera rahna chaman mein baghban par kyun giran hoga
kal aah-e-garm se jis ne girain bijliyan sab par
tumhaare be-qararon mein koi aatish-ba-jaan hoga
liye naqus koi dair wala aaj aaya hai
agar sach hai to kabe mein maza waqt-e-azan hoga
buto hum ko rulaega ye nazzara-e-asiri mein
qafas mein honge hum mauj-e-hawa par aashiyan hoga
sharab-e-nab to kya aag pani ban ke barse gi
agar abr-e-bahaar us aatish-e-gul ka dhuan hoga
wahan bhi phul barsenge in ummat par
jo do-chaar aae hum se to jahannam bhi jinan hoga
lahu roenge mere zaKHm-e-daman rakh ke aankhon par
tumhaara dagh daman hashr mein jab gul-fashan hoga
zariya hai yahi rahmat ka kah de tu hi ai zahid
ye mera phul sa bar-e-gunah mujh par giran hoga
tera diwan to shae ho jagah sab aankh par denge
'riyaz' ashaar ka tere zamana qadar-dan hoga
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 218)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.