na samjha umr-bhar koi ki main bhi tera bismil tha
na samjha umr-bhar koi ki main bhi tera bismil tha
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
na samjhā 'umr-bhar koī ki maiñ bhī terā bismil thā
laboñ par thī hañsī zaḳhmoñ se go chhalnī mirā dil thā
jhukā sar ġhair ke aage na dil duniyā pe maa.il thā
saroñ meñ sar mirā sar thā diloñ meñ dil mirā dil thā
ye sab maanā ki vo saffāk thā zālim thā qātil thā
diyā jis ko diyā haañ phir kisī ko kyā mirā dil thā
tarīq-e-'ishq meñ jo jis qadar gum-karda manzil thā
vo bas utnā hī ai dil ḳhizr-e-rah banñe ke qābil thā
hazāroñ zaḳhm khā kar bhī na taḌpā haaye majbūrī
bas ik tasvīr-e-be-tābī sarāpā terā bismil thā
bahar-sūrat thī ik taklīf bīmārī-e-ulfat meñ
mujhe āsān thā marnā magar parhez mushkil thā
ġhanīmat hai ki mujh ko qa’ar-e-dariyā ne jagah de dī
vabāl-e-dosh mauj-e-āb thā meñ bār-e-sāhil thā
ḳhudā 'majzūb' ko rakhe salāmat us ne chauñkāyā
jise manzil samajh rakhā thā vo ik kHvāb-e-manzil thā
na samjha 'umr-bhar koi ki main bhi tera bismil tha
labon par thi hansi zaKHmon se go chhalni mera dil tha
jhuka sar ghair ke aage na dil duniya pe mail tha
saron mein sar mera sar tha dilon mein dil mera dil tha
ye sab mana ki wo saffak tha zalim tha qatil tha
diya jis ko diya han phir kisi ko kya mera dil tha
tariq-e-'ishq mein jo jis qadar gum-karda manzil tha
wo bas utna hi ai dil KHizr-e-rah banne ke qabil tha
hazaron zaKHm kha kar bhi na taDpa haye majburi
bas ek taswir-e-be-tabi sarapa tera bismil tha
bahar-surat thi ek taklif bimari-e-ulfat mein
mujhe aasan tha marna magar parhez mushkil tha
ghanimat hai ki mujh ko qa’ar-e-dariya ne jagah de di
wabaal-e-dosh mauj-e-ab tha mein bar-e-sahil tha
KHuda 'majzub' ko rakhe salamat us ne chaunkaya
jise manzil samajh rakha tha wo ek kHwab-e-manzil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.