na samjhe gul-ruKHon ke hum ishaare
na samjhe gul-ruḳhoñ ke ham ishāre
hameñ patthar na maare phuul maare
na dekhe apnī kashtī ne to kyā hai
sunā to hai ki hote haiñ kināre
ḳhulāsa umr bhar kī āshiqī kā
hamāre tum nahīñ ham haiñ tumhāre
mohabbat dostī hai dushmanoñ se
hue haiñ dil ke dushman dil ke pyāre
tumheñ tum ho nahīñ kuchh bhī kahīñ aur
kahāñ tashbīh kaise isti.āre
sañvar jaa.e gā ḳhud hī nazm-e-ālam
koī pahle tire gesū sañvāre
dil-e-pur-soz-o-āh-e-ātishīñ se
nahiñ aañsū nahiñ haiñ jo sharāre
mohabbat fātah-e-ālam hai lekin
mohabbat meñ vahī jiite jo haare
'zahīn' āhista kū-e-dost meñ chal
ki āsūda yahāñ haiñ chāñd taare
na samjhe gul-ruKHon ke hum ishaare
hamein patthar na mare phul mare
na dekhe apni kashti ne to kya hai
suna to hai ki hote hain kinare
KHulasa umr bhar ki aashiqi ka
hamare tum nahin hum hain tumhaare
mohabbat dosti hai dushmanon se
hue hain dil ke dushman dil ke pyare
tumhein tum ho nahin kuchh bhi kahin aur
kahan tashbih kaise istiare
sanwar jae ga KHud hi nazm-e-alam
koi pahle tere gesu sanware
dil-e-pur-soz-o-ah-e-atishin se
nahin aansu nahin hain jo sharare
mohabbat fatah-e-alam hai lekin
mohabbat mein wahi jite jo haare
'zahin' aahista ku-e-dost mein chal
ki aasuda yahan hain chand tare
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 218)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.