na shaukat le ke aaya hun na azmat le ke aaya hun
na shaukat le ke aaya hun na azmat le ke aaya hun
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
na shaukat le ke aayā huuñ na 'azmat le ke aayā huuñ
mohabbat le ke aayā huuñ mohabbat le ke aayā huuñ
azal se maiñ tumhārī ik amānat le ke aayā huuñ
tumheñ dene ko ye dard-e-mohabbat le ke aayā huuñ
mire paas aur kyā hai bas ye nāleñ haiñ ye aaheñ haiñ
jo samjheñ aap bhī daulat ye daulat le ke aayā huuñ
us ik ne'amat meñ muzmar ne'amateñ haiñ kul do-'ālam kī
nahīñ koī badal jis kā vo ne'amat le ke aayā huuñ
koī kuchh le ke aayā hai koī kuchh le ke aayā hai
maiñ hairat le ke aayā huuñ maiñ hairat le ke aayā huuñ
nahīñ majnūn-e-dīvāna maiñ huuñ 'majzūb'-e-mastāna
azal se maiñ ye mastāna tabī'at le ke aayā huuñ
kisī ke dar se lauTe haiñ jo sab dāman bhare ai dil
to maiñ 'majzūb' bhī ik ḳhaas daulat le ke aayā huuñ
na shaukat le ke aaya hun na 'azmat le ke aaya hun
mohabbat le ke aaya hun mohabbat le ke aaya hun
azal se main tumhaari ek amanat le ke aaya hun
tumhein dene ko ye dard-e-mohabbat le ke aaya hun
mere pas aur kya hai bas ye nalen hain ye aahen hain
jo samjhen aap bhi daulat ye daulat le ke aaya hun
us ek ne'amat mein muzmar ne'amaten hain kul do-'alam ki
nahin koi badal jis ka wo ne'amat le ke aaya hun
koi kuchh le ke aaya hai koi kuchh le ke aaya hai
main hairat le ke aaya hun main hairat le ke aaya hun
nahin majnun-e-diwana main hun 'majzub'-e-mastana
azal se main ye mastana tabi'at le ke aaya hun
kisi ke dar se lauTe hain jo sab daman bhare ai dil
to main 'majzub' bhi ek KHas daulat le ke aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.