nakaam mohabbat ki itni si kahani hai
nākām mohabbat kī itnī sī kahānī hai
din raat judā.ī meñ ashkoñ kī ravānī hai
kyā tum se kahūñ dilbar is dil kī fuġhānī ko
bas aah hai naale haiñ zaḳhmoñ kī javānī hai
ham ne to mohabbat meñ har chiiz luTā dī hai
lekin vo ye kahte haiñ aafat abhī aanī hai
kī ham ne mohabbat to ye baat samajh aa.ī
fariyād hai vahshat hai jo hū kī zabānī hai
ġhārat-garī pe us kī dil ḳhuun se royā hai
afsos hai mātam hai aur āh-o-fuġhāñī hai
bechā hai sukūn-e-dil aur dard ḳharīdā hai
duniyā hai ye vahshat kī aur sho.ala-fishānī hai
har zaḳhm mere dil kā hañs hañs ke ye kahtā hai
dī us ne vafāoñ kī kyā ḳhuub nishānī hai
ham ne jo kiyā shikva nākām mohabbat kā
us ne kahā ye hañs kar jhūTī ye kahānī hai
dhokā mirī sūrat se mahbūb na tum khānā
hoñToñ pe hañsī gar hai āñkhoñ meñ to paanī hai
yādeñ haiñ jo dilbar kī miT jaa.eñ na vo dil se
vo ziist kā hissa hai vahshat kī nishānī hai
hālat pe mirī dekho mātam hai sabā kartī
ye merī mohabbat kī dil-soz kahānī hai
vājib hai asar tum par jaañ apnī luTā Daalo
dastūr-e-mohabbat kī ye rasm purānī hai
nakaam mohabbat ki itni si kahani hai
din raat judai mein ashkon ki rawani hai
kya tum se kahun dilbar is dil ki fughani ko
bas aah hai nale hain zaKHmon ki jawani hai
hum ne to mohabbat mein har chiz luTa di hai
lekin wo ye kahte hain aafat abhi aani hai
ki hum ne mohabbat to ye baat samajh aai
fariyaad hai wahshat hai jo hu ki zabani hai
ghaarat-gari pe us ki dil KHun se roya hai
afsos hai matam hai aur aah-o-fughani hai
becha hai sukun-e-dil aur dard KHarida hai
duniya hai ye wahshat ki aur shoala-fishani hai
har zaKHm mere dil ka hans hans ke ye kahta hai
di us ne wafaon ki kya KHub nishani hai
hum ne jo kiya shikwa nakaam mohabbat ka
us ne kaha ye hans kar jhuTi ye kahani hai
dhoka meri surat se mahbub na tum khana
honTon pe hansi gar hai aankhon mein to pani hai
yaaden hain jo dilbar ki miT jaen na wo dil se
wo zist ka hissa hai wahshat ki nishani hai
haalat pe meri dekho matam hai saba karti
ye meri mohabbat ki dil-soz kahani hai
wajib hai asar tum par jaan apni luTa Dalo
dastur-e-mohabbat ki ye rasm purani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.