nam hua badnam kisi ka
naam huā badnām kisī kā
naam kisī kā kaam kisī kā
jab se kisī par dil aayā hai
ḳhatm huā ārām kisī kā
husn-e-fareb-e-ishq na pūchho
said kisī kā daam kisī kā
muñh meñ misrī ghol rahā huuñ
hai jo zban par naam kisī kā
tere qurbāñ achchhe saaqī
pher na ḳhālī jaam kisī kā
manzil-e-haq meñ terī anā kyoñ
bhuul na jā anjām kisī kā
rāh-e-vafā āsān nahīñ hai
pahle dāman thaam kisī kā
mere hamesha kaam aayā hai
har mushkil meñ naam kisī kā
vo bhī koī banda jo 'kāmil'
sub.h kisī kā shaam kisī kā
nam hua badnam kisi ka
nam kisi ka kaam kisi ka
jab se kisi par dil aaya hai
KHatm hua aaram kisi ka
husn-e-fareb-e-ishq na puchho
said kisi ka dam kisi ka
munh mein misri ghol raha hun
hai jo zban par nam kisi ka
tere qurban achchhe saqi
pher na KHali jam kisi ka
manzil-e-haq mein teri ana kyon
bhul na ja anjam kisi ka
rah-e-wafa aasan nahin hai
pahle daman tham kisi ka
mere hamesha kaam aaya hai
har mushkil mein nam kisi ka
wo bhi koi banda jo 'kaamil'
subh kisi ka sham kisi ka
- Book : Wardat-e-Kamil Diwan-e-Kamil (Pg. 33)
- Author : Kamil Shattari
- Publication : Kamil Academy (1962)
- Edition : 4th
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.