naz farmae agar mera junun
naaz farmā.e agar merā junūñ
tum vahī karte raho jo maiñ kahūñ
zindagī kyā hai safar paiham safar
phir safar meñ kyā tamannā-e-sukūñ
aql-e-yazdāñ-gīr paiġhambar shikār
ishq kī fitrāk meñ said-e-zabūñ
nmai-e-baqaid-e-shīsha-o-sāġhar harām
aur javān-e-mast āñkhoñ se piyūñ
dost anqā haiñ to dushman hī sahī
koī to ho jis ko apnā kah sakūñ
tum hī tum hote ho mere sāmne
sochtā huuñ jab kabhī maiñ kaun huuñ
chāhtā huuñ maiñ unheñ lekin 'zahīn'
ye mujhe ḳhud bhī nahīñ ma.alūm kyuuñ
naz farmae agar mera junun
tum wahi karte raho jo main kahun
zindagi kya hai safar paiham safar
phir safar mein kya tamanna-e-sukun
aql-e-yazdan-gir paighambar shikar
ishq ki fitrak mein said-e-zabun
nmai-e-baqaid-e-shisha-o-saghar haram
aur jawan-e-mast aankhon se piyun
dost anqa hain to dushman hi sahi
koi to ho jis ko apna kah sakun
tum hi tum hote ho mere samne
sochta hun jab kabhi main kaun hun
chahta hun main unhen lekin 'zahin'
ye mujhe KHud bhi nahin malum kyun
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.