sar mein sauda-e-junun dil mein wafa rakhta hun main
sar meñ saudā-e-junūñ dil meñ vafā rakhtā huuñ maiñ
zindagī ko yuuñ talavvun āshnā rakhtā huuñ maiñ
zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar har dam harā rakhtā huuñ maiñ
dard jo pahlū meñ hai us kī davā rakhtā huuñ meñ
hijr meñ bhī vasl-e-jānāñ kā maza rakhtā huuñ maiñ
husn ko apne tasavvur meñ basā rakhtā huuñ maiñ
dahr ne jo bhī diye nākāmiyoñ ke chand phuul
gulistān-e-fikr meñ un ko khilā rakhtā huuñ maiñ
sar mein sauda-e-junun dil mein wafa rakhta hun main
zindagi ko yun talawwun aashna rakhta hun main
zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar har dam hara rakhta hun main
dard jo pahlu mein hai us ki dawa rakhta hun mein
hijr mein bhi wasl-e-jaanan ka maza rakhta hun main
husn ko apne tasawwur mein basa rakhta hun main
dahr ne jo bhi diye nakaamiyon ke chand phul
gulistan-e-fikr mein un ko khila rakhta hun main
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 6)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.