apna nasheman kya banaenge wo dosh-e-barq par
apnā nasheman kyā banā.eñge vo dosh-e-barq par
jo chaar tinkoñ ko chaman meñ āshiyāñ kahte rahe
har chand thiiñ pābandiyāñ lahza-ba-lahza dam-ba-dam
ham dard ke maare the dil kī dāstāñ kahte rahe
vo ḳhāna-e-dil jo huā hai maskan-e-mahr-o-vafā
ham us munavvar sarzamīñ ko āsmāñ kahte rahe
ye zindagī hotī ga.ī parvarda-e-jaur-o-jafā
aur intihā-e-ġham ko ham ārām-e-jāñ kahte rahe
zarra-navāzī kā hai un kī shukriya sad shukriya
jo hazrat-e-'nādim' ko bhī ahl-e-zabāñ kahte rahe
apna nasheman kya banaenge wo dosh-e-barq par
jo chaar tinkon ko chaman mein aashiyan kahte rahe
har chand thin pabandiyan lahza-ba-lahza dam-ba-dam
hum dard ke mare the dil ki dastan kahte rahe
wo KHana-e-dil jo hua hai maskan-e-mahr-o-wafa
hum us munawwar sarzamin ko aasman kahte rahe
ye zindagi hoti gai parwarda-e-jaur-o-jafa
aur intiha-e-gham ko hum aaram-e-jaan kahte rahe
zarra-nawazi ka hai un ki shukriya sad shukriya
jo hazrat-e-'nadim' ko bhi ahl-e-zaban kahte rahe
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 6)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.