nafas bhi tez-tar aur dil bhi masruf-e-fughan mera
nafas bhi tez-tar aur dil bhi masruf-e-fughan mera
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
nafas bhī tez-tar aur dil bhī masrūf-e-fuġhāñ merā
payām-e-vasl hai shāyad ġham-e-soz-e-nihāñ merā
vahāñ ab khīñch kar laayā mujhe dard-e-nihāñ merā
jahāñ kā zarra zarra ho gayā hai jāñ-sitāñ merā
vahī manzil jise sab manzil-e-maqsūd kahte haiñ
usī manzil pe luuTā jā rahā hai kārvāñ merā
kabhī sayyād kā ḳhadsha kabhī bijlī kā andesha
ba-alfāz-e-digar merī ajal hai āshiyāñ merā
jabīn-e-shauq merī aur raushan hotī jaatī hai
dar-e-mahbūb jis din se banā hai āstāñ merā
jo girnā hai tujhe ai barq to ye soch kar girnā
ki hai saare chaman kī jaan goyā āshiyāñ merā
'azīz' ik din suḳhan-goī se shohrā hone vaalā hai
idhar merā udhar merā yahāñ merā vahāñ merā
nafas bhi tez-tar aur dil bhi masruf-e-fughan mera
payam-e-wasl hai shayad gham-e-soz-e-nihan mera
wahan ab khinch kar laya mujhe dard-e-nihan mera
jahan ka zarra zarra ho gaya hai jaan-sitan mera
wahi manzil jise sab manzil-e-maqsud kahte hain
usi manzil pe luTa ja raha hai karwan mera
kabhi sayyaad ka KHadsha kabhi bijli ka andesha
ba-alfaz-e-digar meri ajal hai aashiyan mera
jabin-e-shauq meri aur raushan hoti jati hai
dar-e-mahbub jis din se bana hai aastan mera
jo girna hai tujhe ai barq to ye soch kar girna
ki hai sare chaman ki jaan goya aashiyan mera
'aziz' ek din suKHan-goi se shohra hone wala hai
idhar mera udhar mera yahan mera wahan mera
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 25)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.