nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai
nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai
nikal ai jaan tū hī vo nahīñ ghar se nikaltā hai
jalā huuñ ātish-e-furqat se maiñ ai sho.ala-rū yaañ tak
charāġh-e-ḳhāna mujh ko dekh kar har shaam jaltā hai
nahīñ ye ashk-o-laḳht-e-dil tirī ulfat kī daulat se
mirā ye diida har dam la.al aur gauhar ugaltā hai
kisī kā saath sonā yaad aatā hai to rotā huuñ
mire ashkoñ kī shiddat se sadā gul-takiya galtā hai
milātā huuñ agar āñkheñ to vo dil ko churātā hai
jo maiñ dil ko talab kartā huuñ vo āñkheñ badaltā hai
mire pahlū-o-sīna meñ butoñ ke rah ga.e ḳhanjar
ḳhudā kā fazl jis par ho to vo is tarah bahaltā hai
sadā hī merī qismat juuñ sadā-e-halqa-e-dar hai
agar maiñ ghar meñ jaatā huuñ to vo bāhar nikaltā hai
vo bahr-e-husn shāyad baaġh meñ āvegā ai 'ehsā۔n'
ki favvāra ḳhushī se aaj do do gaz uchhaltā hai
nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai
nikal ai jaan tū hī wo nahīñ ghar se nikaltā hai
jalā huñ ātish-e-furqat se maiñ ai shoala-rū yañ tak
charāġh-e-ḳhāna mujh ko dekh kar har sham jaltā hai
nahīñ ye ashk-o-laḳht-e-dil tirī ulfat kī daulat se
mirā ye dida har dam lal aur gauhar ugaltā hai
kisī kā sath sonā yaad aatā hai to rotā huñ
mere ashkoñ kī shiddat se sadā gul-takiya galtā hai
milātā huñ agar āñkheñ to wo dil ko churātā hai
jo maiñ dil ko talab kartā huñ wo āñkheñ badaltā hai
mere pahlū-o-sīna meñ butoñ ke rah gae ḳhanjar
ḳhudā kā fazl jis par ho to wo is tarah bahaltā hai
sadā hī merī qismat juñ sadā-e-halqa-e-dar hai
agar maiñ ghar meñ jatā huñ to wo bāhar nikaltā hai
wo bahr-e-husn shāyad baġh meñ āwegā ai 'ehsā۔n'
ki fawwāra ḳhushī se aaj do do gaz uchhaltā hai
- Book : Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.