nahin aashna mere haal se koi aankh bazm-e-majaz mein
nahin aashna mere haal se koi aankh bazm-e-majaz mein
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
nahīñ āshnā mire haal se koī aañkh bazm-e-majāz meñ
huuñ vo ā.īna jo hai nā-tamām abhī zehn-e-ā.īna-sāz meñ
yahī raaz thā ki haqīqateñ rahīñ raaz bazm-e-majāz meñ
vahī ġhaznavī kī nazar meñ thī jo girah thī zulf-e-ayāz meñ
mirā dāġh-e-sajda miTā.e kyuuñ falak us ko chāñd banā.e kyuuñ
ki ye daaġh hāsil-e-āshiqī hai mirī jabīn-e-niyāz meñ
na ye sham.a-e-bazm-faroz ho na ye zindagī na ye soz ho
jo nigāh-e-garm-asar tirī na bhare navā mire saaz meñ
ye rukū kyā ye qayām kyā ye sujūd kyā ye salām kyā
faqat ik fareb-e-niyāz hai jo na mahviyat ho namāz meñ
tirā naġhma mauj-e-shaguftagī mirā naala sho.ala-e-zindagī
hai yahī to farq muġhanniya mire soz meñ tire saaz meñ
huā ḳhaak zauq-e-niyāz se tū samajh na ye ki haqīr huuñ
mujhe jazb hone kā shauq hai tirī bazm-e-zarra-navāz meñ
nahīñ aañkh jalva-kash-e-sahar ye hai zulmatoñ kā asar magar
ka.ī āftāb ġhurūb haiñ mire ġham kī shām-e-darāz meñ
vo urūj-e-māh vo chāñdnī vo ḳhamosh raat vo be-ḳhudī
vo tasavvurāt kī sarḳhushī tire saath rāz-o-niyāz meñ
mujhe ḳhū-e-tuaba nahīñ to kyā mire jurm baḳhshe na jā.eñge
abhī aur chāhiyeñ vus.ateñ karam-e-bahāna-navāz meñ
arabī nahīñ ajamī sahī magar aarzū hai ki 'vārisī'
kabhī apnā naġhma-e-mashriqī maiñ sunūñ navā-e-hijāz meñ
nahin aashna mere haal se koi aankh bazm-e-majaz mein
hun wo aaina jo hai na-tamam abhi zehn-e-aina-saz mein
yahi raaz tha ki haqiqaten rahin raaz bazm-e-majaz mein
wahi ghaznawi ki nazar mein thi jo girah thi zulf-e-ayaz mein
mera dagh-e-sajda miTae kyun falak us ko chand banae kyun
ki ye dagh hasil-e-ashiqi hai meri jabin-e-niyaz mein
na ye shama-e-bazm-faroz ho na ye zindagi na ye soz ho
jo nigah-e-garm-asar teri na bhare nawa mere saz mein
ye ruku kya ye qayam kya ye sujud kya ye salam kya
faqat ek fareb-e-niyaz hai jo na mahwiyat ho namaz mein
tera naghma mauj-e-shaguftagi mera nala shoala-e-zindagi
hai yahi to farq mughanniya mere soz mein tere saz mein
hua KHak zauq-e-niyaz se tu samajh na ye ki haqir hun
mujhe jazb hone ka shauq hai teri bazm-e-zarra-nawaz mein
nahin aankh jalwa-kash-e-sahar ye hai zulmaton ka asar magar
kai aaftab ghurub hain mere gham ki sham-e-daraaz mein
wo uruj-e-mah wo chandni wo KHamosh raat wo be-KHudi
wo tasawwuraat ki sarKHushi tere sath raaz-o-niyaz mein
mujhe KHu-e-tuaba nahin to kya mere jurm baKHshe na jaenge
abhi aur chahiyen wusaten karam-e-bahana-nawaz mein
arabi nahin ajami sahi magar aarzu hai ki 'warisi'
kabhi apna naghma-e-mashriqi main sunun nawa-e-hijaz mein
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 234)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.