nahin majnun pe saya hai kisi ka
nahīñ majnūñ pe saaya hai kisī kā
ye dīvāna satāyā hai kisī kā
hazāre kā chaman us ko na dikhlā
vo dil par daaġh khāyā hai kisī kā
na aa dil meñ mire ai kHatra-e-ġhair
tasavvur yaañ samāyā hai kisī kā
vo merā ḳhāna-e-dil kar ke vīrāñ
sunā phir ghar basāyā hai kisī kā
na nikle aah kā muñh se dhuāñ kyuuñ
mirā siina jalāyā hai kisī kā
na kah qāsid vo terī yaad meñ hai
ye dhokā aur bhulāyā hai kisī kā
vo kahtā hai idhar kyā hai udhar dekh
ye aalam sab banāyā hai kisī kā
'turāb' us but kā hai kyā nāz-bardār
kisī ne baar uThāyā hai kisī kā
nahin majnun pe saya hai kisi ka
ye diwana sataya hai kisi ka
hazare ka chaman us ko na dikhla
wo dil par dagh khaya hai kisi ka
na aa dil mein mere ai kHatra-e-ghair
tasawwur yan samaya hai kisi ka
wo mera KHana-e-dil kar ke viran
suna phir ghar basaya hai kisi ka
na nikle aah ka munh se dhuan kyun
mera sina jalaya hai kisi ka
na kah qasid wo teri yaad mein hai
ye dhoka aur bhulaya hai kisi ka
wo kahta hai idhar kya hai udhar dekh
ye aalam sab banaya hai kisi ka
'turab' us but ka hai kya naz-bardar
kisi ne bar uThaya hai kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.