zulf-e-pechan yar ki jis waqt wa ho jaegi
zulf-e-pechāñ yaar kī jis vaqt vā ho jā.egī
chāhne vāloñ pe nāzil ik balā ho jā.egī
jis ko ulfat aap se ai dilrubā ho jā.egī
us kā dil kyā jaan bhī nazr adā ho jā.egī
ho chukā ḳhūn-e- tamannā ārzūeñ miT chukīñ
aap se milne kī hasrat bhī fanā ho jā.egī
sun ke sehat ko mirī kahtā hai vo rashk-e-masīh
kyā ḳhabar thī mudda.ā merī duā ho jā.egī
kyā zarūrat teġh-e-burrāñ kī hai ai qātil mujhe
qatl-e-āshiq ke liye kaafī adā ho jā.egī
ārzūeñ dil kī jitnī haiñ nikal jā.eñgī sab
aap kī chashm-e-ināyat jab zarā ho jā.egī
ai 'na.īm' un ko na parde meñ tum dekhnā
ārzū-e-dīd aur us se sivā ho jā.egī
zulf-e-pechan yar ki jis waqt wa ho jaegi
chahne walon pe nazil ek bala ho jaegi
jis ko ulfat aap se ai dilruba ho jaegi
us ka dil kya jaan bhi nazr ada ho jaegi
ho chuka KHun-e- tamanna aarzuen miT chukin
aap se milne ki hasrat bhi fana ho jaegi
sun ke sehat ko meri kahta hai wo rashk-e-masih
kya KHabar thi muddaa meri dua ho jaegi
kya zarurat tegh-e-burran ki hai ai qatil mujhe
qatl-e-ashiq ke liye kafi ada ho jaegi
aarzuen dil ki jitni hain nikal jaengi sab
aap ki chashm-e-inayat jab zara ho jaegi
ai 'naim' un ko na parde mein tum dekhna
aarzu-e-did aur us se siwa ho jaegi
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 85)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.