us rashk-e-mah ne ruKH jo nikala naqab se
us rashk-e-mah ne ruḳh jo nikālā naqāb se
zarroñ ne pher pher lī aañkh āftāb se
bāhar girā Tapak ke pasīna naqāb se
paanī chhalak paḌā qadah-e-āftāb se
nazāra ruḳh kā karatā huuñ chashm-e-pur-āb se
sukhā rahā huuñ dāman-e-tar āftāb se
ab dekhiye Dubotā hai kaun is jahān ko
āñkhoñ ne apnī shart bañdhī hai sahāb se
kyuuñ kar na huuñ maiñ ishq meñ majnūñ kā peshvā
bai.at hai mujh ko 'nayyar'-e-irfāñ-e-ma.āb se
us rashk-e-mah ne ruKH jo nikala naqab se
zarron ne pher pher li aankh aaftab se
bahar gira Tapak ke pasina naqab se
pani chhalak paDa qadah-e-aftab se
nazara ruKH ka karata hun chashm-e-pur-ab se
sukha raha hun daman-e-tar aaftab se
ab dekhiye Dubota hai kaun is jahan ko
aankhon ne apni shart bandhi hai sahab se
kyun kar na hun main ishq mein majnun ka peshwa
baiat hai mujh ko 'nayyar'-e-irfan-e-maab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.