kya qiyamat hai ki hum jaan se jate bhi nahin
kyā qiyāmat hai ki ham jaan se jaate bhī nahīñ
un ke aane kā koī lutf uThāte bhī nahīñ
hañs ke kahnā ruḳh-e-zebā to dikhāte bhī nahīñ
bijliyāñ ḳhirman-e-hastī pe girāte bhī nahīñ
haaye kyā be-kHudī-e-shauq ne aafat Dhaa.ī
vo chale aate haiñ ham hosh meñ aate bhī nahīñ
hai vo hañgāma fazā zo.af ki ab dast-e-junūñ
dhajjiyāñ jaib-o-garebāñ kī uḌāte bhī nahīñ
naale kyā zo.af se pahuñcheñge dar-e-jānāñ tak
pāya-e-arsh-e-barīñ aaj hilāte bhī nahīñ
fikr bhī chārā-gar-e-dil ko hai sehat kī mere
mujh se jo ruuTh gayā us ko manāte bhī nahīñ
chand qatre the magar ashk-e-nadāmat ke the
dhabbe us dāman-e-isyāñ ke miTāte bhī nahīñ
najm kis haal ko pahūñchā alam-e-be-tābī
ḳhaak tum dasht-e-mohabbat kī uḌāte bhī nahīñ
kya qiyamat hai ki hum jaan se jate bhi nahin
un ke aane ka koi lutf uThate bhi nahin
hans ke kahna ruKH-e-zeba to dikhate bhi nahin
bijliyan KHirman-e-hasti pe giraate bhi nahin
haye kya be-kHudi-e-shauq ne aafat Dhai
wo chale aate hain hum hosh mein aate bhi nahin
hai wo hangama faza zoaf ki ab dast-e-junun
dhajjiyan jaib-o-gareban ki uDate bhi nahin
nale kya zoaf se pahunchenge dar-e-jaanan tak
paya-e-arsh-e-barin aaj hilate bhi nahin
fikr bhi chaara-gar-e-dil ko hai sehat ki mere
mujh se jo ruTh gaya us ko manate bhi nahin
chand qatre the magar ashk-e-nadamat ke the
dhabbe us daman-e-isyan ke miTate bhi nahin
najm kis haal ko pahuncha alam-e-be-tabi
KHak tum dasht-e-mohabbat ki uDate bhi nahin
- Book : Mah-e-Eid (Pg. 65)
- Author : Syed Ahmad Anwar
- Publication : Matba Ittihad, Bihar (1924)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.