kudūrat-e-dil-e-ma'shūq gul-e-'izār huuñ maiñ
havā uḌā na sake jis ko vo ġhubār huuñ maiñ
hujūm-e-dāġh-e-mohabbat meñ lāla-zār huuñ maiñ
ḳhizāñ kā ḳhauf nahīñ jis ko vo bahār huuñ maiñ
mujhe ye detā hai taskīn-e-vasl kā armān
ki un kī āñkhoñ meñ ab niiñd kā ḳhumār huuñ maiñ
ye un se pūchh ke chaltā hai mujh pe tīr-e-mizha
do-sār qalb meñ huuñ yā jigar ke paar huuñ maiñ
dikhā.ūñ kyā dam-e-pīrī umañg ai saaqī
kisī kī chashm kā utrā huā ġhubār huuñ maiñ
abhī maiñ baiThā huuñ gard-e-malāl kī sūrat
uThūñ to ḳhātir-e-ranjūr kā ġhubār huuñ maiñ
tufail-e-āl-e-mohammad najāt hogī 'najīb'
siyāh-kār agar aur gunāh-gār huuñ maiñ
kudurat-e-dil-e-ma'shuq gul-e-'izar hun main
hawa uDa na sake jis ko wo ghubar hun main
hujum-e-dagh-e-mohabbat mein lala-zar hun main
KHizan ka KHauf nahin jis ko wo bahaar hun main
mujhe ye deta hai taskin-e-wasl ka arman
ki un ki aankhon mein ab nind ka KHumar hun main
ye un se puchh ke chalta hai mujh pe tir-e-mizha
do-sar qalb mein hun ya jigar ke par hun main
dikhaun kya dam-e-piri umang ai saqi
kisi ki chashm ka utra hua ghubar hun main
abhi main baiTha hun gard-e-malal ki surat
uThun to KHatir-e-ranjur ka ghubar hun main
tufail-e-al-e-mohammad najat hogi 'najib'
siyah-kar agar aur gunah-gar hun main
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.