Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya

Muzaffar Warsi

naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    naqsh dil par kaisī kaisī sūratoñ rah gayā

    kitnī lahreñ ham-safar thiiñ phir bhī pyāsā rah gayā

    kaisī kaisī ḳhvāhisheñ mujh se judā hotī ga.iiñ

    kis qadar ābād thā aur kitnā tanhā rah gayā

    DhūñDne niklā thā āvāzoñ bastī meñ use

    soch kar vīrāñ guzargāhoñ pe baiThā rah gayā

    us se milnā yaad hai mil kar bichhaḌnā yaad hai

    kyā batā saktā huuñ kyā jaatā rahā kyā rah gayā

    maiñ ye kahtā huuñ ki har ruḳh se basar zindagī

    zindagī kahtī hai har pahlū adhūrā rah gayā

    ahd-e-rafta khudā.ī kis qadar mahñgī paḌī

    jis jagah ūñchī imārat thī gaḌhā rah gayā

    sirf itnī hai 'muzaffar' apnī rūdād-e-hayāt

    maiñ zamāne ko zamāna mujh ko taktā rah gayā

    naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya

    kitni lahren ham-safar thin phir bhi pyasa rah gaya

    kaisi kaisi KHwahishen mujh se juda hoti gain

    kis qadar aabaad tha aur kitna tanha rah gaya

    DhunDne nikla tha aawazon ki basti mein use

    soch kar viran guzargahon pe baiTha rah gaya

    us se milna yaad hai mil kar bichhaDna yaad hai

    kya bata sakta hun kya jata raha kya rah gaya

    main ye kahta hun ki har ruKH se basar ki zindagi

    zindagi kahti hai har pahlu adhura rah gaya

    ahd-e-rafta ki khudai kis qadar mahngi paDi

    jis jagah unchi imarat thi gaDha sa rah gaya

    sirf itni hai 'muzaffar' apni rudad-e-hayat

    main zamane ko zamana mujh ko takta rah gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now