husn asir-e-rasm hai ishq hai iztirab mein
husn asīr-e-rasm hai ishq hai iztirāb meñ
mumkin kahāñ sukūñ mile sāmnā ho hijāb meñ
jis ko samajh rahā thā maiñ sañg-sitam hai jaan par
us ne gulāb rakh diyā ishq kī har kitāb meñ
shiddat pyaas kā asar dekhiye aap bhī zarā
dariyā simaT ke aa gayā tishnagī sarāb meñ
arz-e-visāl jo kiyā un se javāb ye milā
kHauf-e-sitam zamāna hai aql hai pech-o-tāb meñ
aap yaqīn jāniye kufr se baḌh ke hai nifāq
āb-e-tahavvur Daal de jaise koī sharāb meñ
nā hai matā-e'-zindagī aur nā us kī kuchh talab
ham haiñ ġhulām-e-sharaf-e-haq kho.e haiñ bū-turāb meñ
maḳhfī to ho ga.e haiñ vo ālam-e-hast-o-būd se
kaash 'nasar' maiñ dekh luuñ maulā-e-kul ko ḳhvāb meñ
husn asir-e-rasm hai ishq hai iztirab mein
mumkin kahan sukun mile samna ho hijab mein
jis ko samajh raha tha main sang-sitam hai jaan par
us ne gulab rakh diya ishq ki har kitab mein
shiddat pyas ka asar dekhiye aap bhi zara
dariya simaT ke aa gaya tishnagi sarab mein
arz-e-visal jo kiya un se jawab ye mila
kHauf-e-sitam zamana hai aql hai pech-o-tab mein
aap yaqin jaaniye kufr se baDh ke hai nifaq
aab-e-tahawwur Dal de jaise koi sharab mein
na hai mata-e'-zindagi aur na us ki kuchh talab
hum hain ghulam-e-sharaf-e-haq khoe hain bu-turab mein
maKHfi to ho gae hain wo aalam-e-hast-o-bud se
kash 'nasar' main dekh lun maula-e-kul ko KHwab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.