tere ishaara-e-abru ka ehtiram kiya
tire ishāra-e-abrū kā ehtirām kiyā
jo kaam maiñ ne kiyā thā vo tere naam kiyā
tumhāre chāhne vāloñ kā hai yahi sheva
namāz-e-hijr meñ ashkoñ kā ehtimām kiyā
maiñ kyā karūñ mujhe aatā nahīñ hai dajl-o-freb
alī kā naam liyā ishq ko imaam kiyā
phir us ke ba.ad musalsal hai āfatoñ kā nuzūl
tumhāre chehra-e-zebā ko jo salām kiyā
murīd-e-sāda to ma.adūm hotā jaatā hai
janāb-e-shaiḳh tarīqat ne jalva-ām kiyā
halīf-e-jān kā Dar hai na ḳhauf vasl-e-rafīq
tire sivā sabhī chāhat kā iḳhtitām kiyā
ishār-e-ranj-o-alam se nikal gayā hai 'nasr'
nabī ke zikr kā jab us ne iltizām kiyā
tere ishaara-e-abru ka ehtiram kiya
jo kaam main ne kiya tha wo tere nam kiya
tumhaare chahne walon ka hai yahi shewa
namaz-e-hijr mein ashkon ka ehtimam kiya
main kya karun mujhe aata nahin hai dajl-o-freb
ali ka nam liya ishq ko imam kiya
phir us ke baad musalsal hai aafaton ka nuzul
tumhaare chehra-e-zeba ko jo salam kiya
murid-e-sada to madum hota jata hai
janab-e-shaiKH tariqat ne jalwa-am kiya
halif-e-jaan ka Dar hai na KHauf wasl-e-rafiq
tere siwa sabhi chahat ka iKHtitam kiya
ishaar-e-ranj-o-alam se nikal gaya hai 'nasr'
nabi ke zikr ka jab us ne iltizam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.