tumhaara azm-e-wafa hum bhi aazmate hain
tumhārā azm-e-vafā ham bhī āzmāte haiñ
havā ke ruḳh pe charāġhoñ ko ham jalāte haiñ
ye qatl-o-kHūn-o-tashaddud ye sāzishoñ kā hujūm
jo mudda'iyyān-e-vafā haiñ vahīñ se aate haiñ
tumhāre saath rifāqat rahī hai barsoñ kī
ta.alluqāt to dushman se bhī nibhāte haiñ
na tum ko jiit milī hai na apnī haar huī
to kyuuñ na shahr-e-mohabbat kī samt jaate haiñ
qarīb kar lo 'nasar' duur jaane vāloñ ko
ye fāsle to ġhalat-fahmiyāñ baḌhāte haiñ
tumhaara azm-e-wafa hum bhi aazmate hain
hawa ke ruKH pe charaghon ko hum jalate hain
ye qatl-o-kHun-o-tashaddud ye sazishon ka hujum
jo mudda'iyyan-e-wafa hain wahin se aate hain
tumhaare sath rifaqat rahi hai barson ki
talluqat to dushman se bhi nibhate hain
na tum ko jit mili hai na apni haar hui
to kyun na shahr-e-mohabbat ki samt jate hain
qarib kar lo 'nasar' dur jaane walon ko
ye fasle to ghalat-fahmiyan baDhate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.