apne man par hawi ho ja
apne man par haavī ho jā
andar se bhī suufī ho jā
jo rab se baġhāvat kartī hai
us duniyā se bāġhī ho jā
mar ke bhī gar zinda rahnā hai
us kī raah kī miTTī ho jā
josh pe hai fitnoñ kā tūfāñ
hazrat nuuh kī kashtī ho jā
jis se sharāfat kā ḳhuuñ Tapke
us pad se mustā'fī ho jā
dil meñ 'nasīr' āvāz aatī hai
sāhab-e-ishq-e-haqīqī ho jā
apne man par hawi ho ja
andar se bhi sufi ho ja
jo rab se baghawat karti hai
us duniya se baghi ho ja
mar ke bhi gar zinda rahna hai
us kī rah kī miTTi ho ja
josh pe hai fitnon ka tufan
hazrat nuh ki kashti ho ja
jis se sharafat ka KHun Tapke
us pad se musta'fi ho ja
dil mein 'nasir' aawaz aati hai
sahab-e-ishq-e-haqiqi ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.