tumhaari did ki is dil mein aarzu rakhna
tumhārī diid kī is dil meñ aarzū rakhnā
hai roz-o-shab yahī kaam apnā justujū rakhnā
sitam-rasīda ko jāvak kā milā muzda
tumhī pe aas hai tum merī aabrū rakhnā
tire muhib ne fartaza se shaan kī hai bayāñ
ki ġham na kar ḳhushī har dam ai māh-rū rakhnā
rafa'nā shaan meñ terī kahā hai rab ne tire
hai zikr terā buland us ko kū-ba-kū rakhnā
tujhī se karatā hai 'nāsir' manrerī arz shahā
mujhe to duniyā-o-uqbā meñ surḳh-rū rakhnā
tumhaari did ki is dil mein aarzu rakhna
hai roz-o-shab yahi kaam apna justuju rakhna
sitam-rasida ko jawak ka mila muzda
tumhi pe aas hai tum meri aabru rakhna
tere muhib ne fartaza se shan ki hai bayan
ki gham na kar KHushi har dam ai mah-ru rakhna
rafa'na shan mein teri kaha hai rab ne tere
hai zikr tera buland us ko ku-ba-ku rakhna
tujhi se karata hai 'nasir' manreri arz shaha
mujhe to duniya-o-uqba mein surKH-ru rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.