be-sabab shama ko aadat paD gai jal jaane ki
be-sabab sham.a ko 'ādat paḌ ga.ī jal jaane kī
bad-duā lag ga.ī shāyad kisī parvāne kī
bhīgī rātoñ meñ kisī ġhunche ne dam toḌ diyā
ye to mayyat hai zarūrat nahīñ nahlāne kī
zabt se kaam jo letā to na rusvā hotā
aql maarī ga.ī laila tire dīvāne kī
shaiḳh sāhab ne bulā bhejā hai saaqī mujh ko
aaj ka.abe meñ hai dāvat tire mastāne kī
ba.ad marne ke mai-e-ishq kī ḳhushbū mahke
Daal do ḳhaak mirī qabr pe mai-ḳhāne kī
terī bātoñ kā bharosa nahīñ 'nāzāñ' mujh ko
jhūTī jhūTī tujhe 'ādat hai qasam khāne kī
be-sabab shama ko 'adat paD gai jal jaane ki
bad-dua lag gai shayad kisi parwane ki
bhigi raaton mein kisi ghunche ne dam toD diya
ye to mayyat hai zarurat nahin nahlane ki
zabt se kaam jo leta to na ruswa hota
aql mari gai laila tere diwane ki
shaiKH sahab ne bula bheja hai saqi mujh ko
aaj kabe mein hai dawat tere mastane ki
baad marne ke mai-e-ishq ki KHushbu mahke
Dal do KHak meri qabr pe mai-KHane ki
teri baaton ka bharosa nahin 'nazan' mujh ko
jhuTi jhuTi tujhe 'adat hai qasam khane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.