tasawwur ka asar baDh kar gale ka haar ho jae
tasavvur kā asar baḌh kar gale kā haar ho jaa.e
idhar parda sarak jaa.e udhar dīdār ho jaa.e
ai vaa.iz tuuhī kar insāf vo sajde kā kyā kahnā
ki jo sajda sarāpā naqsh-e-pā-e-yār ho jaa.e
mujhe mahfil se apnī isliye shāyad nikālā hai
kahīñ aisā na ho ye vāqif-e-asrār ho jaa.e
nigāh-e-yār merī zindagī kā ḳhātma kar de
makāñ se tiir nikle aur jigar ke paar ho jaa.e
mohabbat ke samundar meñ koī Duube koī ubhre
koī is paar rah jaa.e koī us paar ho jaa.e
dabe-pāñv chale aate haiñ turbat par mirī 'nāzāñ'
unheñ Dar hai kahīñ soyā huā hushyār ho jaa.e
tasawwur ka asar baDh kar gale ka haar ho jae
idhar parda sarak jae udhar didar ho jae
ai waiz tuhi kar insaf wo sajde ka kya kahna
ki jo sajda sarapa naqsh-e-pa-e-yar ho jae
mujhe mahfil se apni isliye shayad nikala hai
kahin aisa na ho ye waqif-e-asrar ho jae
nigah-e-yar meri zindagi ka KHatma kar de
makan se tir nikle aur jigar ke par ho jae
mohabbat ke samundar mein koi Dube koi ubhre
koi is par rah jae koi us par ho jae
dabe-panw chale aate hain turbat par meri 'nazan'
unhen Dar hai kahin soya hua hushyar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.