kahun kya allah allah kya maze ka dard hota hai
kahūñ kyā allāh allāh kyā maze kā dard hotā hai
jise mahbūb ḳhud baḳhshe vo mīThā dard hotā hai
qasam allāh kī pahlī nazar hai kis qiyāmat kī
mujhe to ibtidā meñ intihā kā dard hotā hai
tire jalve nazar aate haiñ jab taḌpā hai dil merā
davā hotī hai paidā jab bhī paidā dard hotā hai
mere dil kī taḌap kā kyā karegā koī andāzā
ayaañ hai husn par kis dil meñ kaisā dard hotā hai
merī be-tābī-e-dil par kisī kā hañs ke ye kahnā
sunā hai aap ke dil meñ balā kā dard hotā hai
ye naḳhl-e-ārzū haiñ yā mere dil ke phaphūle haiñ
mere jism-e-tamannā meñ ġhazab kā dard hotā hai
jahāñ kī ne.amatoñ meñ be-bahā ne.amat hai ai 'nāzāñ'
vo dil insāniyat kā jis meñ paidā dard hotā hai
kahun kya allah allah kya maze ka dard hota hai
jise mahbub KHud baKHshe wo miTha dard hota hai
qasam allah ki pahli nazar hai kis qiyamat ki
mujhe to ibtida mein intiha ka dard hota hai
tere jalwe nazar aate hain jab taDpa hai dil mera
dawa hoti hai paida jab bhi paida dard hota hai
mere dil ki taDap ka kya karega koi andaza
ayan hai husn par kis dil mein kaisa dard hota hai
meri be-tabi-e-dil par kisi ka hans ke ye kahna
suna hai aap ke dil mein bala ka dard hota hai
ye naKHl-e-arzu hain ya mere dil ke phaphule hain
mere jism-e-tamanna mein ghazab ka dard hota hai
jahan ki neamaton mein be-baha neamat hai ai 'nazan'
wo dil insaniyat ka jis mein paida dard hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.