nazar aai hai jab se qatil ki surat
nazar aa.ī hai jab se qātil kī sūrat
taḌaptā hai dil murġh-e-bismil kī sūrat
tire dekhne kī kare hai vo armāñ
jo dekhe hai aa tere ghā.il kī sūrat
kise taab hai jo muqābil ho dekhe
qiyāmat hai is sham.a-e-mahfil kī sūrat
kabhī ro uThe hai kabhī hañs paḌe hai
ajab in dinoñ hai mire dil kī sūrat
na paañv meñ tāqat na dil meñ irāda
'turāb' ab kahāñ qat-e-manzil kī sūrat
nazar aai hai jab se qatil ki surat
taDapta hai dil murgh-e-bismil ki surat
tere dekhne ki kare hai wo arman
jo dekhe hai aa tere ghail ki surat
kise tab hai jo muqabil ho dekhe
qiyamat hai is shama-e-mahfil ki surat
kabhi ro uThe hai kabhi hans paDe hai
ajab in dinon hai mere dil ki surat
na panw mein taqat na dil mein irada
'turab' ab kahan qat-e-manzil ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.