Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nazar lauT kar dil mein aae to kya ho

Zaheen Shah Taji

nazar lauT kar dil mein aae to kya ho

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    nazar lauT kar dil meñ aa.e to kyā ho

    jo dekhā hai dil meñ dikhā.e to kyā ho

    nigāhoñ se guzrā huā hai jo manzar

    vo dil se guzarne na paa.e to kyā ho

    ḳhayāl aap vāqi.a ban gayā ho

    yahī vāqi.a pesh aa.e to kyā ho

    vo tasvīr jo muskurātī hai dil meñ

    tasavvur ko āñkheñ dikhā.e to kyā ho

    vahī jo samā.e na arz-o-samā meñ

    mere dil meñ ā-kar na jaa.e to kyā ho

    azal se abad tak kabhī aañkh dil

    na jhapke jhapakne na paa.e to kyā ho

    vo dariyā ki maujeñ haiñ is do-ālam

    vo ek buuñd meñ Duub jaa.e to kyā ho

    'zhīn' aap chashm-o-abrū ke qurbāñ

    na samjhe ishāre kinā.e to kyā ho

    nazar lauT kar dil mein aae to kya ho

    jo dekha hai dil mein dikhae to kya ho

    nigahon se guzra hua hai jo manzar

    wo dil se guzarne na pae to kya ho

    KHayal aap hi waqia ban gaya ho

    yahi waqia pesh aae to kya ho

    wo taswir jo muskuraati hai dil mein

    tasawwur ko aankhen dikhae to kya ho

    wahi jo samae na arz-o-sama mein

    mere dil mein aa-kar na jae to kya ho

    azal se abad tak kabhi aankh dil ki

    na jhapke jhapakne na pae to kya ho

    wo dariya ki maujen hain is ki do-alam

    wo ek bund mein Dub jae to kya ho

    'zhin' aap ki chashm-o-abru ke qurban

    na samjhe ishaare kinae to kya ho

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 152)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now