nazar mein bhi nahin ab ghumta paimana barson se
nazar mein bhi nahin ab ghumta paimana barson se
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
nazar meñ bhī nahīñ ab ghūmtā paimāna barsoñ se
qasam khāne ko bhī dekhā nahīñ mai-ḳhāna barsoñ se
na piine ko milī ik ghūñT be-bākāna barsoñ se
nahīñ ab kār-farmā jur.at-e-rindāna barsoñ se
sar-e-sahrā jidhar dekho udāsī hī udāsī hai
idhar aayā nahīñ shāyad koī dīvāna barsoñ se
kabhī ḳhalvat kabhī jalvat kabhī hañsnā kabhī ronā
murattab kar rahe haiñ ham bhī ik afsāna barsoñ se
ye taklīf-e-qadam-bosī ye andāz-e-pazīrā.ī
hamārā muntazir thā ġhāliban vīrāna barsoñ se
muyassar aa.ī kyā ham ko gadā.ī aap ke dar kī
guzartī hai hamārī zindagī shāhāna barsoñ se
vo apnī zaat ke sahrā meñ shāyad terā juuyā hai
nazar aayā nahīñ ahbāb ko dīvāna barsoñ se
'nasīr' ab apnī āñkheñ uTh nahīñ saktīñ kisī jānib
mire peash-e-nazar hai ik tajallī-ḳhāna barsoñ se
nazar mein bhi nahin ab ghumta paimana barson se
qasam khane ko bhi dekha nahin mai-KHana barson se
na pine ko mili ek ghunT be-bakana barson se
nahin ab kar-farma jurat-e-rindana barson se
sar-e-sahra jidhar dekho udasi hi udasi hai
idhar aaya nahin shayad koi diwana barson se
kabhi KHalwat kabhi jalwat kabhi hansna kabhi rona
murattab kar rahe hain hum bhi ek afsana barson se
ye taklif-e-qadam-bosi ye andaz-e-pazirai
hamara muntazir tha ghaaliban virana barson se
muyassar aai kya hum ko gadai aap ke dar ki
guzarti hai hamari zindagi shahana barson se
wo apni zat ke sahra mein shayad tera juya hai
nazar aaya nahin ahbab ko diwana barson se
'nasir' ab apni aankhen uTh nahin saktin kisi jaanib
mere peash-e-nazar hai ek tajalli-KHana barson se
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 702)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.