nazar mein jis ki phirti howe us KHunKhaar ki surat
nazar mein jis ki phirti howe us KHunKhaar ki surat
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
nazar meñ jis kī phirtī hove us ḳhuñḳhār kī sūrat
use hargiz na ḳhush aave gul-o-gulzār kī sūrat
baġhair az rū-e-zebā ke jahāñ kā ā.īna-ḳhāna
nazar aatā hai āñkhoñ meñ dar-o-dīvār kī sūrat
bahā jaatā hai ḳhuuñ āñkhoñ se us kī ye nishāñ to hai
vagarna kaun pahchāne tire bīmār kī sūrat
araz kyā aur kyā jauhar koī zāhir koī maz.har
muhaqqiq kahte haiñ un sab ko is dildār kī sūrat
ye zor-e-'ishq' hai be-shubah ham bhī tujh se kahte haiñ
abe suntā hai o zāhid tire inkār kī sūrat
nazar mein jis ki phirti howe us KHunKHar ki surat
use hargiz na KHush aawe gul-o-gulzar ki surat
baghair az ru-e-zeba ke jahan ka aaina-KHana
nazar aata hai aankhon mein dar-o-diwar ki surat
baha jata hai KHun aankhon se us ki ye nishan to hai
wagarna kaun pahchane tere bimar ki surat
araz kya aur kya jauhar koi zahir koi mazhar
muhaqqiq kahte hain un sab ko is dildar ki surat
ye zor-e-'ishq' hai be-shubah hum bhi tujh se kahte hain
abe sunta hai o zahid tere inkar ki surat
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 86)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.