dil KHanjar utarta kaise
Interesting Fact
آواز : زاہد نازاں قوال۔
dil ḳhanjar utārtā kaise
terī yādoñ ko mārtā kaise
tuune jab sī diyā thā hoñToñ ko
phir kisī ko pukārtā kaise
ek lamha thā hijr kā lekin
maiñ vo lamha guzārtā kaise
jiit likhī thī jin ke hāthoñ par
vo koī shart hārtā kaise
vaqt ne le liye the haath mire
terī zulfeñ sañvārtā kaise
maiñ to ḳhud dhuul ho chukā thā 'nazīr'
ā.īnoñ ko nikhārtā kaise
dil KHanjar utarta kaise
teri yaadon ko marta kaise
tune jab si diya tha honTon ko
phir kisi ko pukarta kaise
ek lamha tha hijr ka lekin
main wo lamha guzarta kaise
jit likhi thi jin ke hathon par
wo koi shart haarta kaise
waqt ne le liye the hath mere
teri zulfen sanwarta kaise
main to KHud dhul ho chuka tha 'nazir'
aainon ko nikhaarta kaise
- Book : Zahid Nazan Qawwal, Part 1 (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.